tajrabe ki sarhad par
raag Duub jaate haiñ
saaz TuuT jaate haiñ
āsmāñ ke goshoñ meñ
an-ginat sitāroñ ke
diip bujhne lagte haiñ
din kī dhuup meñ akasr
vasl-e-mumkina ke sab ahd chhoḌ dete haiñ
bātoñ meñ khanak nāpaid
aur chamak nigāhoñ meñ
maañd paḌtī jaatī hai
reshmīn lahje bhī
khurdure se lagte haiñ
sohbatoñ meñ pahlī sī
be-ḳhudī nahīñ rahtī
chehra-e-rifāqat par zardī
chhāne lagtī hai
jazb-e-ishq ko thak kar
niiñd aane lagtī hai
tajrabe kī sarhad par aa ke bhed khultā hai
koī bhī ta.alluq ho, ek sā nahīñ rahtā
rag Dub jate hain
saz TuT jate hain
aasman ke goshon mein
an-ginat sitaron ke
dip bujhne lagte hain
din ki dhup mein akasr
wasl-e-mumkina ke sab ahd chhoD dete hain
baaton mein khanak napaid
aur chamak nigahon mein
mand paDti jati hai
reshmin lahje bhi
khurdure se lagte hain
sohbaton mein pahli si
be-KHudi nahin rahti
chehra-e-rifaqat par zardi
chhane lagti hai
jazb-e-ishq ko thak kar
nind aane lagti hai
tajrabe ki sarhad par aa ke bhed khulta hai
koi bhi talluq ho, ek sa nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.