tajrid
zindagī maiñ tire darvāze par
ik bhikārī kī tarah aayā thā
apne dāman ko banā kar kashkol
terī har raah pe phailāyā thā
ek marhūm kiran kī ḳhātir
mujh ko thoḌī sī ziyā bhī na milī
dam-ba-dam Dūbte sayyāre ko
apne markaz se sadā bhī na milī
daf.atan ek dhamāke ke saath
kachche dhāgoñ ke sire chhūT ga.e
uñgliyāñ chhil ga.iiñ armānoñ kī
yak-ba-yak tār-e-nafas TuuT ga.e
aur phir ek ghanā sannāTā
aur phir rasm-e-kohan ke gesū
kuchh dilāse kī zabānī bāteñ
kuchh dikhāve ke purāne aañsū
2
kohr meñ Duub ga.ī thiiñ sham.eñ
vaqt nārāz thā qismat kī tarah
raat ke ruḳh pe the zaḳhmoñ ke nishān
merī majrūh hamīyat kī tarah
ik ḳhatarnāk kagāre ke qarīb
tujh se laḌne kā irāda le kar
maiñ ne mohroñ ko sikhā.ī shorish
maiñ ne maujoñ ke bigāḌe tevar
tū magar aa.ī to ik lamhe meñ
na vo tevar the na vo aaheñ thiiñ
tere aariz pe mire aañsū the
merī gardan meñ tirī bāheñ thiiñ
zindagi main tere darwaze par
ek bhikari ki tarah aaya tha
apne daman ko bana kar kashkol
teri har rah pe phailaya tha
ek marhum kiran ki KHatir
mujh ko thoDi si ziya bhi na mili
dam-ba-dam Dubte sayyare ko
apne markaz se sada bhi na mili
dafatan ek dhamake ke sath
kachche dhagon ke sire chhuT gae
ungliyan chhil gain armanon ki
yak-ba-yak tar-e-nafas TuT gae
aur phir ek ghana sannaTa
aur phir rasm-e-kohan ke gesu
kuchh dilase ki zabani baaten
kuchh dikhawe ke purane aansu
2
kohr mein Dub gai thin shamen
waqt naraaz tha qismat ki tarah
raat ke ruKH pe the zaKHmon ke nishan
meri majruh hamiyat ki tarah
ek KHatarnak kagare ke qarib
tujh se laDne ka irada le kar
main ne mohron ko sikhai shorish
main ne maujon ke bigaDe tewar
tu magar aai to ek lamhe mein
na wo tewar the na wo aahen thin
tere aariz pe mere aansu the
meri gardan mein teri bahen thin
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(shahr-e-aazar) (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.