tajziya
dosto aaj be-samt chalte haiñ log
tum bhī is bhiiḌ meñ kho ke rah jāoge
aao maazī kī kholeñ kitāb-e-amal
ik nazar sarsarī hī sahī Daal kar
dekh leñ apne sab kārnāmoñ kā hashr
tajziya apnī nākāmiyoñ kā kareñ
apnī mahrūmiyoñ par hañseñ ḳhuub jī kho kar
aur socheñ ki kyuuñ
shahr ke shor meñ gum karāhoñ kā nauha huā
ham pe kyuuñ be-dilī chhā ga.ī
reñgtī zindagī kī baqā ke liye
ham ne kyuuñ uḌte lamhoñ ke par kaaT kar rakh diye
ik jibillat kī taskīn ke vāste
kar ke samjhautā apne hī dushman ke saath
valvale bech Daale harīfoñ ke haath
dosto aaj be-samt chalte hain log
tum bhi is bhiD mein kho ke rah jaoge
aao mazi ki kholen kitab-e-amal
ek nazar sarsari hi sahi Dal kar
dekh len apne sab karnamon ka hashr
tajziya apni nakaamiyon ka karen
apni mahrumiyon par hansen KHub ji kho kar
aur sochen ki kyun
shahr ke shor mein gum karahon ka nauha hua
hum pe kyun be-dili chha gai
rengti zindagi ki baqa ke liye
hum ne kyun uDte lamhon ke par kaT kar rakh diye
ek jibillat ki taskin ke waste
kar ke samjhauta apne hi dushman ke sath
walwale bech Dale harifon ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.