taKHatub
kal raat huā yuuñ bhī
ik chāñd badan laḌkī
taḳh.īl meñ jab utrī
duniyā ke masā.il ne
har dil kī masarrat ko
maslūb banā Daalā
aur us se taḳhātub par
mahsūs huā mujh ko
jaise koī sadiyoñ kī
bichhḌī huī do rūheñ
aapas meñ muḳhātab hoñ
be-rūh kī qālib huuñ
kal raat hua yun bhi
ek chand badan laDki
taKHil mein jab utri
duniya ke masail ne
har dil ki masarrat ko
maslub bana Dala
aur us se taKHatub par
mahsus hua mujh ko
jaise koi sadiyon ki
bichhDi hui do ruhen
aapas mein muKHatab hon
be-ruh ki qalib hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.