taKHliq
dard kī aag bujhā do ki abhī vaqt nahīñ
zaḳhm-e-dil jaag sake nashtar-e-ġham raqs kare
jo bhī sāñsoñ meñ ghulā hai use uryāñ na karo
chup bhī shola hai magar koī na ilzām dhare
aise ilzām ki ḳhud apne tarāshe hue but
jazba-e-kāvish-e-ḳhāliq ko nigūñ-sār kareñ
mū-qalam halqa-e-abrū ko banā de ḳhanjar
lafz nauhoñ meñ raqam mad.h-e-ruḳh-e-yār kareñ
raqs-e-mīnā se uThe naġhma-e-raqs-e-bismil
saaz ḳhud apne muġhannī ko gunahgār kareñ
marham-e-ashk nahīñ zaḳhm-e-talab kā chāra
ḳhuuñ bhī ro.o.ge to kis ḳhaak kī saj-dhaj hogī
kāñpte hāthoñ se TuuTī huī buniyādoñ par
jo bhī dīvār uThāoge vahī kaj hogī
koī patthar ho ki naġhma koī paikar ho ki rañg
jo bhī tasvīr banāoge apāhaj hogī
dard ki aag bujha do ki abhi waqt nahin
zaKHm-e-dil jag sake nashtar-e-gham raqs kare
jo bhi sanson mein ghula hai use uryan na karo
chup bhi shola hai magar koi na ilzam dhare
aise ilzam ki KHud apne tarashe hue but
jazba-e-kawish-e-KHaliq ko nigun-sar karen
mu-qalam halqa-e-abru ko bana de KHanjar
lafz nauhon mein raqam madh-e-ruKH-e-yar karen
raqs-e-mina se uThe naghma-e-raqs-e-bismil
saz KHud apne mughanni ko gunahgar karen
marham-e-ashk nahin zaKHm-e-talab ka chaara
KHun bhi rooge to kis KHak ki saj-dhaj hogi
kanpte hathon se TuTi hui buniyaadon par
jo bhi diwar uThaoge wahi kaj hogi
koi patthar ho ki naghma koi paikar ho ki rang
jo bhi taswir banaoge apahaj hogi
- Book : kulliyate ahamd faraaz (Pg. 454)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.