nābūd ke kāmil sannāTe meñ
zehn-e-āfāqī
shor ḳhayāloñ kā apne suntā hai
āmāq kī tārīkī se ubhar kar
nuur kā ek aazam zarra
shaq ho ke adam ke sannāTe ko toḌtā hai
pīThoñ pe havā-e-shamsī mārtī hai durre...
duurī harakat meñ aate haiñ sākit kurre
afkār kā varta bain-un-najm ḳhalāoñ meñ
āvāz-e-muhīb se ghūmtā hai
sūraj ke daraḳhshāñ bātin meñ
tārīkī kā pur-haul hayūlā kūdtā hai
shab kī aqlīm ke haikal par
kaalā bādal apnā bijlī kā sah shanāḳha lahrātā hai
ḳhud se mubāriz-andesha
sañgīñ kohsār meñ Dhaltā hai
jis kī maḳhrūtī choTī se
pātāl kī gahrā.ī kā ḳhabt uchhaltā hai
faulādī paanī maujoñ kī talvāroñ se
patthar ki chaTāneñ kāTtā hai
āshob vafūr-e-qudrat kā
bahr-e-zaḳhḳhār kī tah meñ paltā hai
talbīda taulīd pe sāhil se sarzan
maḳhlūq kasīr-ul-āzā kā shevan
tashkīl meñ hai aamil quvvat kā mansūba...
kohre se zāhir hotā hai ik kashtī kā ḳhāka
mastūl ke bal ḳhāmoshī se jo
tūfāñ vāsil hotā hai
matlūb, nihāñ-ḳhāne meñ apne rūh-e-insānī
dahshat kī god meñ bālīda hotī hai
nabud ke kaamil sannaTe mein
zehn-e-afaqi
shor KHayalon ka apne sunta hai
aamaq ki tariki se ubhar kar
nur ka ek aazam zarra
shaq ho ke adam ke sannaTe ko toDta hai
piThon pe hawa-e-shamsi marti hai durre
duri harakat mein aate hain sakit kurre
afkar ka warta bain-un-najm KHalaon mein
aawaz-e-muhib se ghumta hai
suraj ke daraKHshan baatin mein
tariki ka pur-haul hayula kudta hai
shab ki aqlim ke haikal par
kala baadal apna bijli ka sah shanaKHa lahraata hai
KHud se mubariz-andesha
sangin kohsar mein Dhalta hai
jis ki maKHruti choTi se
patal ki gahrai ka KHabt uchhalta hai
fauladi pani maujon ki talwaron se
patthar ki chaTanen kaTta hai
aashob wafur-e-qudrat ka
bahr-e-zaKHKHar ki tah mein palta hai
talbida taulid pe sahil se sarzan
maKHluq kasir-ul-aza ka shewan
tashkil mein hai aamil quwwat ka mansuba
kohre se zahir hota hai ek kashti ka KHaka
mastul ke bal KHamoshi se jo
tufan wasil hota hai
matlub, nihan-KHane mein apne ruh-e-insani
dahshat ki god mein baalida hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.