taKHliq ka karb
abhī abhī mirī be-ḳhvābiyoñ ne dekhī hai
fazā-e-shab meñ sitāroñ kī āḳhirī parvāz
ḳhabar nahīñ ki añdhere ke dil kī dhaḌkan hai
ki aa rahī hai ujāloñ ke paañv kī āvāz
batā.ūñ kyā tujhe naġhmoñ ke karb kā aalam
lahū-luhān huā jā rahā hai sīna-e-sāz
abhi abhi meri be-KHwabiyon ne dekhi hai
faza-e-shab mein sitaron ki aaKHiri parwaz
KHabar nahin ki andhere ke dil ki dhaDkan hai
ki aa rahi hai ujalon ke panw ki aawaz
bataun kya tujhe naghmon ke karb ka aalam
lahu-luhan hua ja raha hai sina-e-saz
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.