taKHliq
raat zulfoñ kī dil-āvez shamīm
sohbat-e-shauq ko garmāti rahī
shāhid-e-shoḳh kā paikar thā ḳhayāl
garm a.azā kā gudāz
lazzat-e-ġhamza-o-nāz
chhiḌ ga.e saaz ke taar
yuuñ machaltī thiiñ umañgeñ merī
jaise gardūñ pe sitāre chamkeñ
ḳhāliq-e-zīst ko ik sharm sī mahsūs huī
ik na.e karb-e-tamannā kā sahārā le kar
ḳhvāb-e-rāhat se uThā
aur āmāda-e-paikār huā
dasht-e-paikār meñ baḌhtā hī gayā
baḌh ke ik chashma-e-sīmīñ ne qadam chuum liye
nūr-e-sayyāl se mānūs fazā
dil-e-be-tāb ko raas aane lagī
jism āsūda huā
arsh par ek sitāra TuuTā
ik na.ī ziist kī taḳhlīq huī
raat zulfon ki dil-awez shamim
sohbat-e-shauq ko garmati rahi
shahid-e-shoKH ka paikar tha KHayal
garm aaza ka gudaz
lazzat-e-ghamza-o-naz
chhiD gae saz ke tar
yun machalti thin umangen meri
jaise gardun pe sitare chamken
KHaliq-e-zist ko ek sharm si mahsus hui
ek nae karb-e-tamanna ka sahaara le kar
KHwab-e-rahat se uTha
aur aamada-e-paikar hua
dasht-e-paikar mein baDhta hi gaya
baDh ke ek chashma-e-simin ne qadam chum liye
nur-e-sayyal se manus faza
dil-e-be-tab ko ras aane lagi
jism aasuda hua
arsh par ek sitara TuTa
ek nai zist ki taKHliq hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.