taKHliq
maiñ kitnī der se
āñkheñ band kiye baiThī huuñ
jaise saañs lene ko
aur zindagī karne ko
koī bahāna na mil rahā ho
jaise aañsū aur dard
be-ma.anī hoñ
jaise apnā vajūd
dūsroñ kī zarūriyāt kā
ek zarīya ho
jaise hañsī aur ḳhushī
aur rang-birangī duniyā
kisī ḳhvāb kā hissa hoñ
maiñ kab se āñkheñ band kiye baiThī huuñ
aur yake-ba.ad-dīgre
ka.ī dhamākoñ se
kitnī duniyā.eñ taḳhlīq ho kar
ujaḌ chukī haiñ
main kitni der se
aankhen band kiye baiThi hun
jaise sans lene ko
aur zindagi karne ko
koi bahana na mil raha ho
jaise aansu aur dard
be-mani hon
jaise apna wajud
dusron ki zaruriyat ka
ek zariya ho
jaise hansi aur KHushi
aur rang-birangi duniya
kisi KHwab ka hissa hon
main kab se aankhen band kiye baiThi hun
aur yake-baad-digre
kai dhamakon se
kitni duniyaen taKHliq ho kar
ujaD chuki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.