taKHliq
raat kī raah se haT kar kisī ġham-ḳhāne se
chāñd chupke se nikal aayā thā
kitnī kaliyāñ thiiñ jo zehnoñ meñ mahaktī dekhīñ
barf ke ek pighalte hue sannāTe meñ
kitnī sadiyāñ thiiñ jo ḳhāmosh guzarte dekhīñ
apnī hī aag meñ jalte hue peḌoñ par agar
us ghaḌī baur jo utrā to janam hogā zarūr
aisī nazmoñ kā jo mahkār meñ Duubī hoñgī
raat ki rah se haT kar kisi gham-KHane se
chand chupke se nikal aaya tha
kitni kaliyan thin jo zehnon mein mahakti dekhin
barf ke ek pighalte hue sannaTe mein
kitni sadiyan thin jo KHamosh guzarte dekhin
apni hi aag mein jalte hue peDon par agar
us ghaDi baur jo utra to janam hoga zarur
aisi nazmon ka jo mahkar mein Dubi hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.