taKHliq
vo mujh se kahtī thī
mere shā.ir
ġhazal sunāo
jo an-sunī ho
jo an-kahī ho
ki jis ke ehsās
an-chhue hoñ
hoñ sher aise
ki pahle misre ko
sun ke
man meñ
khile tajassus
kā phuul aisā
misāl jis kī
adab meñ saare
kahīñ bhī nā ho
maiñ us se kahtā thā
merī jānāñ
ġhazal to koī ye kah chukā hai
ye mo.ajiza to
ḳhudā ne mere
duā se
pahle hī kar diyā hai
tamām aalam kī
sab se pyārī
jo an-kahī sī
jo an-sunī sī
jo an-chhuī sī
hasīñ ġhazal hai
vo mere pahlū meñ
jalva-gar hai
wo mujh se kahti thi
mere shair
ghazal sunao
jo an-suni ho
jo an-kahi ho
ki jis ke ehsas
an-chhue hon
hon sher aise
ki pahle misre ko
sun ke
man mein
khile tajassus
ka phul aisa
misal jis ki
adab mein sare
kahin bhi na ho
main us se kahta tha
meri jaanan
ghazal to koi ye kah chuka hai
ye moajiza to
KHuda ne mere
dua se
pahle hi kar diya hai
tamam aalam ki
sab se pyari
jo an-kahi si
jo an-suni si
jo an-chhui si
hasin ghazal hai
wo mere pahlu mein
jalwa-gar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.