takmil
vo tīrgī bhī ajiib thī
chāñdnī kī ThanDī gudāz chādar se saarā jañgal lipaT rahā thā
guloñ ke sad-rañg
dhuñdle dhuñdle se
jaise ik sīm-tan ke chehre ke shoḳh ġhāze pe
āñsuoñ kā ġhubār ho
peḌ, muntazir
apnī narm shāḳhoñ ke haath phailā.e
aur kabhī koī shāḳh chaTkī
to saa.e nikle
mulūk phūloñ ko chuum kar
chāñdnī kī chādar pe nāchte the
kahāñ se aa.ī
vo ik kiran
jis ne phailtī tīrgī kī gambhīrtā ko chīrā
to mere bhītar meñ ek kirnoñ kā silsila yuuñ utar rahā thā
ki koh-e-ātish-fashāñ se laavā nasheb ko bah rahā ho
mere lahū se soj ubal paḌe
jin kī tez hiddat se tīrgī ke muhīb yaḳh-basta sañg pighle
to nuur ke rāstoñ kā ik jaal khul gayā
magar abhī to muhīb kaale pahāḌ kuchh aur bhī nazar aa rahe haiñ
aur maiñ safar kī hiddat se jal rahā huuñ
zarā maiñ ab chāñdnī kī ThanDī gudāz-chādar meñ
dam to le luuñ
kahīñ ubaltī huī ye ātish
mujhe jalā kar bhasm na kar de
wo tirgi bhi ajib thi
chandni ki ThanDi gudaz chadar se sara jangal lipaT raha tha
gulon ke sad-rang
dhundle dhundle se
jaise ek sim-tan ke chehre ke shoKH ghaze pe
aansuon ka ghubar ho
peD, muntazir
apni narm shaKHon ke hath phailae
aur kabhi koi shaKH chaTki
to sae nikle
muluk phulon ko chum kar
chandni ki chadar pe nachte the
kahan se aai
wo ek kiran
jis ne phailti tirgi ki gambhirta ko chira
to mere bhitar mein ek kirnon ka silsila yun utar raha tha
ki koh-e-atish-fashan se lawa nasheb ko bah raha ho
mere lahu se soj ubal paDe
jin ki tez hiddat se tirgi ke muhib yaKH-basta sang pighle
to nur ke raston ka ek jal khul gaya
magar abhi to muhib kale pahaD kuchh aur bhi nazar aa rahe hain
aur main safar ki hiddat se jal raha hun
zara main ab chandni ki ThanDi gudaz-chadar mein
dam to le lun
kahin ubalti hui ye aatish
mujhe jala kar bhasm na kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.