rag-e-nigāh meñ nashtar chubho ke uTThā huuñ
dayār-e-zīst shikasta-nuqūsh se pur hai
magar nigāh ko hai ishq dasht-e-imkāñ se
mirī nigāh meñ takmīl kā yaqīñ na sahī
mirī nigāh meñ takmīl kā irāda hai
uThā hai jo bhī qadam rāh-e-zindagī pe use
hazār rang masarrat kā jā.eza le kar
ġham-e-hayāt ke hoñToñ ne baḌh ke chuum liyā
jabīneñ fart-e-nashāt-o-tarab kī mastī meñ
javāñ ḳhayāl irādoñ ke āstānoñ par
vafūr-e-faḳhr-e-ta'alluq meñ jhuktī jaatī haiñ
ta'alluqāt se qaa.em hai dahr kī raunaq
ta'alluqāt pe mabnī hai zindagī kā vajūd
ta'alluqāt ki jin ke tufail har lamha
ġham-e-hayāt abad par nigāh rakhtā hai
ġham-e-hayāt shab-o-roz kī ragoñ meñ jise
har ek lamha nayā ḳhuun paidā karnā hai
azal kī aañkh taqāzā namī kā kartī hai
azal kī aañkh ba-sad-kaif rotī rahtī hai
nigāh-e-zīst meñ ra.anā.iyoñ kā rang-e-latīf
sukūñ-pazīr ḳhayāloñ ko loriyāñ de kar
udaas sāyoñ kī taqdīr bantā jaatā hai
ġham-e-hayāt kī rangīniyoñ ke saaye meñ
jahān-e-dard ke sāmāñ panapte rahte haiñ
in āñsūoñ ke javāñ-azm kārvānoñ ko
abad kī manzil-e-nādīda-o-ajab kī taraf
junūñ kā josh liye raah raah baḌhne do
fareb-e-marg vo nāsūr hai jise ab tak
fareb-e-zīst ke phāhe na raam kar paa.e
ta'alluqāt kī pur-josh mauj-e-bahr-e-ḳhayāl
hazār moḌ liye sāhiloñ se Takrā kar
na.e ḳhayāl ke naqshe banātī jaatī hai
na.e vajūd safīnoñ kā ruup lete haiñ
na.ī nigāh sitāroñ se baat kartī hai
na.e fareb-e-nazar ko asiir karte haiñ
fareb jin pe taġhāful kī gard jam jam kar
rah-e-ḳhayāl ko hamvār kartī jaatī hai
mujhe yaqīñ hai shikastoñ ke silsile ik din
navā-e-vaj.h-e-vajūd-o-ḳhayāl ko sun kar
na.e-navele ta.ajjub ko jā ke chhū leñge
jahāñ hayāt kī āñkhoñ se ashk ban ban kar
abad ke raaz Tapakne ke muntazir hoñge
jahāñ shikast ke dāman meñ kāmrāñ lamhe
fazā-e-vaqt ko le kar simaT rahe hoñge
jahāñ nigāh taḳhayyul kī ham-navā ho kar
ta'alluqāt ke rangīn giit gā.egī
vo jis maqām pe takmīl-e-ārzū bhī nahīñ
vo jis maqām pe har kashmakash ke qadmoñ ko
thakan kī had pe sukūñ aa ke chuum letā hai
usī maqām kī derīna justujū ke tufail
rag-e-nigāh meñ nashtar chubho ke uTThā huuñ
rag-e-nigah mein nashtar chubho ke uTTha hun
dayar-e-zist shikasta-nuqush se pur hai
magar nigah ko hai ishq dasht-e-imkan se
meri nigah mein takmil ka yaqin na sahi
meri nigah mein takmil ka irada hai
uTha hai jo bhi qadam rah-e-zindagi pe use
hazar rang masarrat ka jaeza le kar
gham-e-hayat ke honTon ne baDh ke chum liya
jabinen fart-e-nashat-o-tarab ki masti mein
jawan KHayal iradon ke aastanon par
wafur-e-faKHr-e-ta'alluq mein jhukti jati hain
ta'alluqat se qaem hai dahr ki raunaq
ta'alluqat pe mabni hai zindagi ka wajud
ta'alluqat ki jin ke tufail har lamha
gham-e-hayat abad par nigah rakhta hai
gham-e-hayat shab-o-roz ki ragon mein jise
har ek lamha naya KHun paida karna hai
azal ki aankh taqaza nami ka karti hai
azal ki aankh ba-sad-kaif roti rahti hai
nigah-e-zist mein ranaiyon ka rang-e-latif
sukun-pazir KHayalon ko loriyan de kar
udas sayon ki taqdir banta jata hai
gham-e-hayat ki ranginiyon ke saye mein
jahan-e-dard ke saman panapte rahte hain
in aansuon ke jawan-azm karwanon ko
abad ki manzil-e-nadida-o-ajab ki taraf
junun ka josh liye rah rah baDhne do
fareb-e-marg wo nasur hai jise ab tak
fareb-e-zist ke phahe na ram kar pae
ta'alluqat ki pur-josh mauj-e-bahr-e-KHayal
hazar moD liye sahilon se Takra kar
nae KHayal ke naqshe banati jati hai
nae wajud safinon ka rup lete hain
nai nigah sitaron se baat karti hai
nae fareb-e-nazar ko asir karte hain
fareb jin pe taghaful ki gard jam jam kar
rah-e-KHayal ko hamwar karti jati hai
mujhe yaqin hai shikaston ke silsile ek din
nawa-e-wajh-e-wajud-o-KHayal ko sun kar
nae-nawele tajjub ko ja ke chhu lenge
jahan hayat ki aankhon se ashk ban ban kar
abad ke raaz Tapakne ke muntazir honge
jahan shikast ke daman mein kaamran lamhe
faza-e-waqt ko le kar simaT rahe honge
jahan nigah taKHayyul ki ham-nawa ho kar
ta'alluqat ke rangin git gaegi
wo jis maqam pe takmil-e-arzu bhi nahin
wo jis maqam pe har kashmakash ke qadmon ko
thakan ki had pe sukun aa ke chum leta hai
usi maqam ki derina justuju ke tufail
rag-e-nigah mein nashtar chubho ke uTTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.