ab ham apne shahr kī galiyāñ kin logoñ ke naam kareñ
pahle aksar nām-pate afrañgī the
chand shahīdoñ ke katbe
bhūlī-bisrī sadiyoñ se bhī naam chune
phir islāmī shahzādoñ ne daan diyā
daan kī ḳhātir ham ne apnā maan diyā
ab to aisī jañg chhiḌī hai
saare shahīd aur saare ġhāzī
saare kāfir saare namāzī
sab hī apne dushman haiñ
ab ham apne shahr kī galiyāñ kin logoñ ke naam kareñ
kin logoñ se bhiik milegī
kin logoñ ko raam kareñ
ab hum apne shahr ki galiyan kin logon ke nam karen
pahle aksar nam-pate afrangi the
chand shahidon ke katbe
bhuli-bisri sadiyon se bhi nam chune
phir islami shahzadon ne dan diya
dan ki KHatir hum ne apna man diya
ab to aisi jang chhiDi hai
sare shahid aur sare ghazi
sare kafir sare namazi
sab hi apne dushman hain
ab hum apne shahr ki galiyan kin logon ke nam karen
kin logon se bhik milegi
kin logon ko ram karen
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 68)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.