talash
yuuñ lagtā hai
pichhle kuchh sāloñ se
shab kī siyāhī gahrī ho ga.ī hai
shāyad ek lamhe ko dūsrā lamha bhī nahīñ sūjhtā
zī-fahm dānish-var
apne ehsās pe lage zaḳhmoñ ko
māh-o-anjum banā.e
kisī jadīd sūraj ke tulūa hone ke manzar
ma.asūm jiyāle
apne zaḳhmoñ ko sambhāle
na.e vaar se bachne kī talāsh meñ
koī kisī ke dostī-bhare safed ghar meñ be-fikr
koī kisī ke duāoñ kā muntazir
yun lagta hai
pichhle kuchh salon se
shab ki siyahi gahri ho gai hai
shayad ek lamhe ko dusra lamha bhi nahin sujhta
zi-fahm danish-war
apne ehsas pe lage zaKHmon ko
mah-o-anjum banae
kisi jadid suraj ke tulua hone ke manzar
masum jiyale
apne zaKHmon ko sambhaale
nae war se bachne ki talash mein
koi kisi ke dosti-bhare safed ghar mein be-fikr
koi kisi ke duaon ka muntazir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.