talash-e-aKHar
aao aaj se ham bhī
ḳhauf ḳhauf ho jaa.eñ
ḳhauf bhī to nashsha hai
ḳhauf bhī to quvvat hai
ḳhauf ke liye bhī to
jaan kī zarūrat hai
aao apnī tāqat ko
ham bhī aazmā dekheñ
ḳhauf ḳhauf ho jaa.eñ
ḳhud-numā.ī ke tevar
Dhañg parda-dārī ke
ham-navā.ī ke da.ave
rañg dushmanī ke sab, ḳhauf kī alāmat haiñ
qurbatoñ kī ḳhvāhish meñ
sar-girāniyāñ kyā kyā
dūriyoñ ke haq meñ bhī
ma.arke dalā.el ke
ek aañkh lazzat hai
ek aañkh vahshat hai
ham ne donoñ āñkhoñ se
koī shai nahīñ dekhī
aao donoñ āñkhoñ ko
band kar ke rakh chhoḌeñ
aur phir koī bhī shai
soch leñ ki aisī hai
ḳhauf ḳhauf ho jaa.eñ
aao aaj se hum bhi
KHauf KHauf ho jaen
KHauf bhi to nashsha hai
KHauf bhi to quwwat hai
KHauf ke liye bhi to
jaan ki zarurat hai
aao apni taqat ko
hum bhi aazma dekhen
KHauf KHauf ho jaen
KHud-numai ke tewar
Dhang parda-dari ke
ham-nawai ke dawe
rang dushmani ke sab, KHauf ki alamat hain
qurbaton ki KHwahish mein
sar-giraniyan kya kya
duriyon ke haq mein bhi
marke dalael ke
ek aankh lazzat hai
ek aankh wahshat hai
hum ne donon aankhon se
koi shai nahin dekhi
aao donon aankhon ko
band kar ke rakh chhoDen
aur phir koi bhi shai
soch len ki aisi hai
KHauf KHauf ho jaen
- Book : Ber Aab e Neel (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.