talash-e-gum-gashta
ye tamanna kā laavā pighal kar rahegā
vo jo sadiyoñ se mere dil-e-muztarib meñ dabā thā
vo āñkhoñ ke raste bahegā
ki bahnā azal ko abad se milātā hai
par koī miltā nahīñ
kyā bichhaḌne ke imkān ko
merī taġhāroñ meñ bone kā maqsad yahī thā
ki maiñ tujh se duurī pe
qarya-ba-qarya bichhaḌne kā nauha kahūñ
kyā kahūñ ki tū ḳhāmoshiyoñ ko bhī
sāñsoñ ke tāroñ pe bajtī huī
dhun meñ suntā hai
kaisā mo'amma hai jo hal na hone kā sāmān
mere ḳhayāloñ kī
almāriyoñ meñ sajātā chalā jā rahā hai
mujh ko qaidī karo
aur merī talātum meñ bahte samundar ko
āvāz do
taaki maiñ terī vus'at kā andāza kartā chalūñ
aañkh kī putliyoñ meñ
hamāre bichhaḌne pe taalī bajāte hue
sab tamāshā.iyoñ ko bhī qaidī karo
taaki vo bhī to jāneñ
us an-dekhī quvvat kā dukh
jo hameñ ek duuje ko
duurī pe majbūr kartī hai
par vo dikhā.ī nahīñ de rahī
kyā dikhāvā zarūrī hai
is imbisāt-e-jahāñ meñ
nahīñ hai agar tū tasadduq-shi’ārī pe māmūr
ham ko batā.eñ
zamīnī kahāvat pe ḳhanda-zanī karne vaale
batā.eñ hameñ
vo jo maujūd hai par dikhā.ī nahīñ de rahā hai
kahāñ hai
ye tamanna ka lawa pighal kar rahega
wo jo sadiyon se mere dil-e-muztarib mein daba tha
wo aankhon ke raste bahega
ki bahna azal ko abad se milata hai
par koi milta nahin
kya bichhaDne ke imkan ko
meri taghaaron mein bone ka maqsad yahi tha
ki main tujh se duri pe
qarya-ba-qarya bichhaDne ka nauha kahun
kya kahun ki tu KHamoshiyon ko bhi
sanson ke taron pe bajti hui
dhun mein sunta hai
kaisa mo'amma hai jo hal na hone ka saman
mere KHayalon ki
almariyon mein sajata chala ja raha hai
mujh ko qaidi karo
aur meri talatum mein bahte samundar ko
aawaz do
taki main teri wus'at ka andaza karta chalun
aankh ki putliyon mein
hamare bichhaDne pe tali bajate hue
sab tamashaiyon ko bhi qaidi karo
taki wo bhi to jaanen
us an-dekhi quwwat ka dukh
jo hamein ek duje ko
duri pe majbur karti hai
par wo dikhai nahin de rahi
kya dikhawa zaruri hai
is imbisat-e-jahan mein
nahin hai agar tu tasadduq-shi’ari pe mamur
hum ko bataen
zamini kahawat pe KHanda-zani karne wale
bataen hamein
wo jo maujud hai par dikhai nahin de raha hai
kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.