talash-e-jahan-e-napaid
jahāñ na sāya-e-māzī kahīñ nazar aa.e
jahāñ na fikr ho fardā kī koī dāman-gīr
na dost ho na shanāsā na koī dushman ho
kisī kī ambarī-zulfoñ kā maiñ nahīñ huuñ asiir
safar jo ho to koī kārvāñ na rahbar ho
na manziloñ ke liye ho talāsh dāman-gīr
ho dasht merā makāñ aur koh dīvāreñ
ho sā.ebāñ kī tarah sar pe āsmān-e-dabīr
na yuuñ hayāt ho fikr-e-ma.āsh se bezār
ki jaise paañv meñ hotī hai qaid kī zanjīr
na bad-zanī kī ho kulfat na Dar sazā kā ho
na iltijā-e-karam se karūñ maiñ ḳhud ko haqīr
agar maiñ siikh luuñ qudrat se zindagī kā chalan
ye barg phuul havā bas yahī hoñ mere mushīr
kabhī jo niiñd na aa.e darāz rātoñ meñ
falak ke raaz sunā.eñ mujhe falak ke safīr
na ḳhvāb aa.eñ mirī niiñd itnī gahrī ho
sahar ko hājat-e-tafsīr-e-ḳhvāb ho na 'amīr'
jahan na saya-e-mazi kahin nazar aae
jahan na fikr ho farda ki koi daman-gir
na dost ho na shanasa na koi dushman ho
kisi ki ambari-zulfon ka main nahin hun asir
safar jo ho to koi karwan na rahbar ho
na manzilon ke liye ho talash daman-gir
ho dasht mera makan aur koh diwaren
ho saeban ki tarah sar pe aasman-e-dabir
na yun hayat ho fikr-e-maash se bezar
ki jaise panw mein hoti hai qaid ki zanjir
na bad-zani ki ho kulfat na Dar saza ka ho
na iltija-e-karam se karun main KHud ko haqir
agar main sikh lun qudrat se zindagi ka chalan
ye barg phul hawa bas yahi hon mere mushir
kabhi jo nind na aae daraaz raaton mein
falak ke raaz sunaen mujhe falak ke safir
na KHwab aaen meri nind itni gahri ho
sahar ko hajat-e-tafsir-e-KHwab ho na 'amir'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.