aao ab apnī gum-shuda jannat kareñ talāsh
phir vā'da-e-chinār kī 'azmat kareñ talāsh
nafrat ke saare naqsh miTā kar diloñ se ham
aao ḳhulūs aur mohabbat kareñ talāsh
sargoshiyāñ sunā.ī deñ pattoñ kī jis jagah
phir vo sukūn phir vahī ḳhalvat kareñ talāsh
sharmā uTheñ jo dekh ke hūreñ bahisht kī
har nāznīñ ke ruḳh pe vo rangat kareñ talāsh
gulshan kī aao sair kareñ bhauñrā ban ke ham
phal meñ miThās phuul meñ nik.hat kareñ talāsh
Dal jhiil meñ ho pahle sī phir se chahal-pahal
phir chashm-e-shāhī kī chalo barakat kareñ talāsh
jang-o-jadal kī bhuul ke saarī hikāyateñ
santoñ kī sūfiyoñ kī rivāyat kareñ talāsh
ik nuur se haiñ paidā hue shaiḳh-o-barhaman
har shai meñ aao jalva-e-vahdat kareñ talāsh
tauba kareñ gunāh se dahshat se dosto
us rahmat-e-tamām kī rahmat kareñ talāsh
aao ab apni gum-shuda jannat karen talash
phir wa'da-e-chinar ki 'azmat karen talash
nafrat ke sare naqsh miTa kar dilon se hum
aao KHulus aur mohabbat karen talash
sargoshiyan sunai den patton ki jis jagah
phir wo sukun phir wahi KHalwat karen talash
sharma uThen jo dekh ke huren bahisht ki
har naznin ke ruKH pe wo rangat karen talash
gulshan ki aao sair karen bhaunra ban ke hum
phal mein miThas phul mein nikhat karen talash
Dal jhil mein ho pahle si phir se chahal-pahal
phir chashm-e-shahi ki chalo barakat karen talash
jang-o-jadal ki bhul ke sari hikayaten
santon ki sufiyon ki riwayat karen talash
ek nur se hain paida hue shaiKH-o-barhaman
har shai mein aao jalwa-e-wahdat karen talash
tauba karen gunah se dahshat se dosto
us rahmat-e-tamam ki rahmat karen talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.