talash-e-mahbub
kisī ne mujh se kahā tū chaman meñ rahtā hai
guloñ kī mahkī huī anjuman meñ rahtā hai
magar kisī bhī chaman meñ tirā nishāñ na milā
patā chalā ki hai kunj-e-sadaf meñ terā ghar
muqīm rahtā hai tū us meñ ban ke āb-e-guhar
magar kahīñ bhī tirā bahr-e-bekarāñ na milā
tirī gulābī-e-shabnam meñ justujū kī hai
havā ke gesū-e-barham meñ justujū kī hai
magar kahīñ bhī tirī zulf kā dhuāñ na milā
ġhazāl-e-ra.anā se maiñ ne kabhī tujhe pūchhā
ġhubār-e-sahrā se maiñ ne kabhī tujhe pūchhā
fazā-e-dasht meñ bhī terā kārvāñ na milā
kabhī falak kī ghaTā meñ tujhe talāsh kiyā
kabhī shafaq kī hinā meñ tujhe talāsh kiyā
kisī jagah bhī magar terā āstāñ na milā
mujhe ḳhabar milī kāshāna hai tirā mahtāb
tū chashm-e-māh meñ rahtā hai ban ke rangīñ ḳhvāb
tirā surāġh magar sū-e-kahkashāñ na milā
tū hī batā ki tujhe maiñ kahāñ talāsh karūñ
maiñ kis jagah tujhe nūr-e-ravāñ talāsh karūñ
jahāñ-jahāñ maiñ gayā tū vahāñ-vahāñ na milā
koī uThā na sakā tere parda-hā-e-nāz
zamīn-o-charḳh pe koī nahīñ hai mahram-e-rāz
tujhe batā.e koī aisā nukta-dāñ na milā
kisi ne mujh se kaha tu chaman mein rahta hai
gulon ki mahki hui anjuman mein rahta hai
magar kisi bhi chaman mein tera nishan na mila
pata chala ki hai kunj-e-sadaf mein tera ghar
muqim rahta hai tu us mein ban ke aab-e-guhar
magar kahin bhi tera bahr-e-bekaran na mila
teri gulabi-e-shabnam mein justuju ki hai
hawa ke gesu-e-barham mein justuju ki hai
magar kahin bhi teri zulf ka dhuan na mila
ghazal-e-rana se main ne kabhi tujhe puchha
ghubar-e-sahra se main ne kabhi tujhe puchha
faza-e-dasht mein bhi tera karwan na mila
kabhi falak ki ghaTa mein tujhe talash kiya
kabhi shafaq ki hina mein tujhe talash kiya
kisi jagah bhi magar tera aastan na mila
mujhe KHabar mili kashana hai tera mahtab
tu chashm-e-mah mein rahta hai ban ke rangin KHwab
tera suragh magar su-e-kahkashan na mila
tu hi bata ki tujhe main kahan talash karun
main kis jagah tujhe nur-e-rawan talash karun
jahan-jahan main gaya tu wahan-wahan na mila
koi uTha na saka tere parda-ha-e-naz
zamin-o-charKH pe koi nahin hai mahram-e-raaz
tujhe batae koi aisa nukta-dan na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.