talash
ek mehrāb phir dūsrī phir ka.ī
be-karāñ tīrgī meñ huvaidā huiiñ
koī thā
koī hai
koī hogā kahīñ
sā.ateñ tiin ik saath paidā huiiñ
ruuh ke haath mere badan kā galā
ghūñT kar thak ga.e
haath mere badan ke bhī uTThe magar
dāman-e-ḳhvāhish-e-rā.egāñ tak ga.e
uñgliyāñ TuuT kar kirchiyāñ ho ga.iiñ
muTThiyāñ band hone se mujh par khulā
haDDiyāñ kāñch kī mere hāthoñ meñ thiiñ
ab mire jism meñ merī hī kirchiyāñ
DhūñDhtī phir rahī haiñ mujhe aur maiñ
apne TuuTe hue haath thāme hue
ḳhauf kī is guphā meñ chhupā huuñ jahāñ
ek mehrāb phir dūsrī phir ka.ī
be-karāñ tīrgī meñ huvaidā huiiñ
koī thā
koī hai
koī hogā kahīñ
sā.ateñ tiin ik saath paidā huiiñ
ek mehrab phir dusri phir kai
be-karan tirgi mein huwaida huin
koi tha
koi hai
koi hoga kahin
saaten tin ek sath paida huin
ruh ke hath mere badan ka gala
ghunT kar thak gae
hath mere badan ke bhi uTThe magar
daman-e-KHwahish-e-raegan tak gae
ungliyan TuT kar kirchiyan ho gain
muTThiyan band hone se mujh par khula
haDDiyan kanch ki mere hathon mein thin
ab mere jism mein meri hi kirchiyan
DhunDhti phir rahi hain mujhe aur main
apne TuTe hue hath thame hue
KHauf ki is gupha mein chhupa hun jahan
ek mehrab phir dusri phir kai
be-karan tirgi mein huwaida huin
koi tha
koi hai
koi hoga kahin
saaten tin ek sath paida huin
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 227)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.