talash
vo bachcha kahāñ hai
jo kah de ki hazrat-salāmat
ye sab log malbūs-e-shāhī kā iqrār karte raheñ
mujh ko to aap nañge nazar aa rahe haiñ
vo bachcha jo itnī purānī kahānī meñ zinda chalā aa rahā hai
hamāre vatan meñ bhī hogā
hamāre vatan meñ bhī hogā
Darī aur sahmī magar phir bhī jaarī ye āvāz dil chīrtī hai
hamāre vatan meñ bhī hogā
hamāre vatan meñ bhī hogā
maiñ darbāriyoñ meñ to kyā naukaroñ ke jilau meñ bahut duur baiThā
libās-e-shāhī kā madah-ḳhvāñ to ab bhī nahīñ
ishāroñ kināyoñ
alāmāt se yā ḳhurāfāt se
kuchh na kuchh nazm meñ kuchh na kuchh nasr meñ baḌbaḌātā rahā huuñ
magar vaañ bhī yaañ kā ye afsāna sab ko sunātā rahā huuñ
vo 'ġhālib' na ho aur 'jālib' rahe phir bhī aisā hī bachcha
hamāre vatan meñ bhī hai
aur rahegā
wo bachcha kahan hai
jo kah de ki hazrat-salamat
ye sab log malbus-e-shahi ka iqrar karte rahen
mujh ko to aap nange nazar aa rahe hain
wo bachcha jo itni purani kahani mein zinda chala aa raha hai
hamare watan mein bhi hoga
hamare watan mein bhi hoga
Dari aur sahmi magar phir bhi jari ye aawaz dil chirti hai
hamare watan mein bhi hoga
hamare watan mein bhi hoga
main darbariyon mein to kya naukaron ke jilau mein bahut dur baiTha
libas-e-shahi ka madah-KHwan to ab bhi nahin
ishaaron kinayon
alamat se ya KHurafat se
kuchh na kuchh nazm mein kuchh na kuchh nasr mein baDbaData raha hun
magar wan bhi yan ka ye afsana sab ko sunata raha hun
wo 'ghaalib' na ho aur 'jalib' rahe phir bhi aisa hi bachcha
hamare watan mein bhi hai
aur rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.