talash
ḳhāmosh thā sāhil
lahreñ bhī tham chukī thiiñ
paanī meñ jhāñkte hue
tāroñ kī ek laḌī thī
chupke se bah rahī havā meñ
sāñsoñ kī āvāz thī
khoyā to kuchh nahīñ thā
phir bhī jaane kyā talāsh thī
tanhā.ī meñ aksar jo
yaad aa.ī hai ye vo baat hai
ham ko to yaad aaj bhī
pahlī vo mulāqāt hai
ek shaḳhs jo thā ajnabī
do qadam par aa kar ruk gayā
us ne na kuchh kahā magar
phir bhī bahut kuchh kah gayā
ab na thā ḳhāmosh sāhil
na lahar ḳhāmosh thī
taare sañvar chuke the
havā meñ ajab sī baat thī
kitnā hasīñ manzar thā vo
har baat meñ koī baat thī
shāyad yahī vo pal thā
jis kī barsoñ se talāsh thī
lekin
lekin jo thā vo thā kabhī
yahī sach hai ki vo ab nahīñ
shāyad muqaddar meñ hamāre
pahle sī koī shab nahīñ
aaj barsoñ ba.ad phir
qadam vahīñ ko chal diye
āñkhoñ meñ intizār aur
savāloñ ke bhañvar liye
badlā nahīñ kuchh aaj bhī
vahī pahle sā andāz hai
ḳhāmosh hai sāhil
lahreñ bhī tham chukīñ haiñ
paanī meñ jhāñkte hue
tāroñ kī ek laḌī hai
chupke se bah rahī havā meñ
siskiyoñ kī āvāz hai
jise kho chuke haiñ ham
hameñ us ajnabī kī talāsh hai
us ajnabī kī talāsh hai
KHamosh tha sahil
lahren bhi tham chuki thin
pani mein jhankte hue
taron ki ek laDi thi
chupke se bah rahi hawa mein
sanson ki aawaz thi
khoya to kuchh nahin tha
phir bhi jaane kya talash thi
tanhai mein aksar jo
yaad aai hai ye wo baat hai
hum ko to yaad aaj bhi
pahli wo mulaqat hai
ek shaKHs jo tha ajnabi
do qadam par aa kar ruk gaya
us ne na kuchh kaha magar
phir bhi bahut kuchh kah gaya
ab na tha KHamosh sahil
na lahar KHamosh thi
tare sanwar chuke the
hawa mein ajab si baat thi
kitna hasin manzar tha wo
har baat mein koi baat thi
shayad yahi wo pal tha
jis ki barson se talash thi
lekin
lekin jo tha wo tha kabhi
yahi sach hai ki wo ab nahin
shayad muqaddar mein hamare
pahle si koi shab nahin
aaj barson baad phir
qadam wahin ko chal diye
aankhon mein intizar aur
sawalon ke bhanwar liye
badla nahin kuchh aaj bhi
wahi pahle sa andaz hai
KHamosh hai sahil
lahren bhi tham chukin hain
pani mein jhankte hue
taron ki ek laDi hai
chupke se bah rahi hawa mein
siskiyon ki aawaz hai
jise kho chuke hain hum
hamein us ajnabi ki talash hai
us ajnabi ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.