talash
kho gayā hai tū kin nazāroñ meñ
maiñ ne DhūñDā tujhe bahāroñ meñ
sard barsāt kī phuvāroñ meñ
baaġh kī dil-nashīñ qatāroñ meñ
sarv shamshād aur chanāroñ meñ
gulsitānoñ meñ lāla-zāroñ meñ
vādiyoñ aur murġh-zāroñ meñ
mah-jabīnoñ meñ māh-pāroñ meñ
duur pur-pech kohsāroñ meñ
garm sahrā ke regzāroñ meñ
ġhair mānūs gahre ġhāroñ meñ
har taraf pur-ḳhatar nazāroñ meñ
aur ab kar rahā huuñ tujh ko talāsh
āsmāñ ke hasīn tāroñ meñ
kho gaya hai tu kin nazaron mein
main ne DhunDa tujhe bahaaron mein
sard barsat ki phuwaron mein
bagh ki dil-nashin qataron mein
sarw shamshad aur chanaron mein
gulsitanon mein lala-zaron mein
wadiyon aur murgh-zaron mein
mah-jabinon mein mah-paron mein
dur pur-pech kohsaron mein
garm sahra ke regzaron mein
ghair manus gahre ghaaron mein
har taraf pur-KHatar nazaron mein
aur ab kar raha hun tujh ko talash
aasman ke hasin taron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.