talash
maiñ DhūñDhtī huuñ
rahmat-e-bārāñ
miTTī kī ḳhushbū
havāoñ ke naġhme
jharne umaDte hue
bahtī huī naddiyāñ
mausam-e-bārāñ hai
ḳhushbuoñ meñ rach-bas kar
har pahar mahaktī hai
jharne umaDte haiñ
mad.hosh naddiyāñ haiñ
maiñ bahtī jaatī huuñ
lekin
samundar ke aane tak
qadam ruk se jaate haiñ
gunahgār hai ye badan merā
simaTtā hai lahroñ meñ
chamakte hue daaġh kī tarah
phir se
ubhartā hai āñkhoñ meñ
DhūñDhtī huuñ maiñ
ḳhāliq ko
jo aa ke bhārī badan ye badal Daale
phuul kar de mujhe
aur maiñ
phir se paanī pe
āhista āhista
bahne lagūñ
main DhunDhti hun
rahmat-e-baran
miTTi ki KHushbu
hawaon ke naghme
jharne umaDte hue
bahti hui naddiyan
mausam-e-baran hai
KHushbuon mein rach-bas kar
har pahar mahakti hai
jharne umaDte hain
madhosh naddiyan hain
main bahti jati hun
lekin
samundar ke aane tak
qadam ruk se jate hain
gunahgar hai ye badan mera
simaTta hai lahron mein
chamakte hue dagh ki tarah
phir se
ubharta hai aankhon mein
DhunDhti hun main
KHaliq ko
jo aa ke bhaari badan ye badal Dale
phul kar de mujhe
aur main
phir se pani pe
aahista aahista
bahne lagun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.