talash
mujhe aadmī kī talāsh hai
aise aadmī kī jo aadmī ho
aisā aadmī jis meñ ādamiyat ho
mujhe farishte kī talāsh nahīñ
farishta aadmī ke dukh kyā jaane
mujhe us kī talāsh hai
jo aadmī ke dukh jaane
jo bhuuk se āshnā ho
kahāñ milegā vo aadmī
mahfiloñ meñ
majlisoñ meñ
nahīñ nahīñ
vahāñ aadmī kahāñ
mābadoñ meñ
nahīñ vahāñ bhī nahīñ
vahāñ jazā-o-sazā ke qisse haiñ
dukhoñ kī va.ī.deñ haiñ
kyā jiite rahnā ma.amūlī dukh hai
kyā is se bhī baḌā azaab hai
mujhe aadmī kī talāsh
aur vo to maiñ hī huuñ
mujhe aadmi ki talash hai
aise aadmi ki jo aadmi ho
aisa aadmi jis mein aadamiyat ho
mujhe farishte ki talash nahin
farishta aadmi ke dukh kya jaane
mujhe us ki talash hai
jo aadmi ke dukh jaane
jo bhuk se aashna ho
kahan milega wo aadmi
mahfilon mein
majlison mein
nahin nahin
wahan aadmi kahan
mabadon mein
nahin wahan bhi nahin
wahan jaza-o-saza ke qisse hain
dukhon ki waiden hain
kya jite rahna mamuli dukh hai
kya is se bhi baDa azab hai
mujhe aadmi ki talash
aur wo to main hi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.