talash
mujhe ho DhūñDhnā gar to
na.e rastoñ meñ DhūñDoge
na.ī sochoñ meñ pāoge
na.e rishtoñ meñ DhūñDoge
banā hai bādaloñ meñ jo
mirā ghar hai
mirā dar hai
mujhe milne kī chāhat hai
to phir
ūñche himāla kī bulandī se na ghabrāo
chale aao
vagarna ai mire saa.il
palaT jaao to behtar hai
mujhe ho DhunDhna gar to
nae raston mein DhunDoge
nai sochon mein paoge
nae rishton mein DhunDoge
bana hai baadalon mein jo
mera ghar hai
mera dar hai
mujhe milne ki chahat hai
to phir
unche himala ki bulandi se na ghabrao
chale aao
wagarna ai mere sail
palaT jao to behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.