rasta ye jānā-pahchānā hai kabhī kabhī ye apnā hotā thā
barsoñ baras tak in path par pyaar hamārā sanjotā thā
sāñjh savere an-dekhī barkhā se nam rahtī thī ḳhaak
shaam kā ġhuncha sub.h kā sūraj, shabnam se muñh dhotā thā
ḳhaak se tere badan kī ḳhushbū Daalī Daalī uḌtī thī
dhyān kā bhauñrā phuul kī bikhrī pankhuḌiyoñ ko pirotā thā
soch kī uThtī girtī lahreñ tujh ko kahīñ se le ātīñ
sāhil-e-nūr pe terā saaya baiThā paañv bhigotā thā
ik māñdī sī lahr achānak terī god meñ jā girtī
dhartī se ākāsh tak ik āġhosh kā aalam hotā thā
sotī raat kā jaadū chaltā khiñchte hue dāman kī oT
chāñd kā jauban chhalkā paḌtā sāgar pyāsā hotā thā
gesū tere bikhre jaate pahlū tere khulte jaate
shauq kī āñkheñ lorī detīñ terā hijāb na sotā thā
sabza sabza niiñd bichhī thii, chāñd kī sī raftār se ham
haule haule paañv uThāte ḳhvāb kā aalam hotā thā
jaane kaun se moḌ pe terā haath achānak chhūT gayā
gyaan kī is baurā.ī pavan meñ dhyān bhī terā TuuT gayā
apnī vo dhartī saare jahāñ meñ phir na kahīñ pahchān milī
is miTTī kī ḳhushbū paane biij ashkoñ ke botā thā
chehra chehra vahshat Thahrī āñkheñ tujh ko bhuul ga.iiñ
mūrat mūrat chup sī lagī thii, jaane mujhe kyā hotā thā
chaḌhte chāñd kī aahaT sun kar nagrī nagrī merā charāġh
raat kī jhuktī badlī ke dāman ko pakaḌ kar rotā thā
raste raste bikhrī huī thī mere charāġh kī tanhā.ī
ik māñdī sī lau meñ kis kis kī parchhā.īñ samotā thā
rasta chalte log bhī pāgal ummīdoñ ko samjhāte
kitnā hī ā.īna dikhāte terā aks na hotā thā
dal ke dal bādal jab terā pursā de ke chale jaate
duur kahīñ ik abr kā TukḌā jaise mujh ko rotā thā
hosh ke bujhte diye meñ ab tak us kā aañsū jaltā hai
ab tak us kī khoj meñ paglā des bides nikaltā hai
rasta ye jaana-pahchana hai kabhi kabhi ye apna hota tha
barson baras tak in path par pyar hamara sanjota tha
sanjh sawere an-dekhi barkha se nam rahti thi KHak
sham ka ghuncha subh ka suraj, shabnam se munh dhota tha
KHak se tere badan ki KHushbu Dali Dali uDti thi
dhyan ka bhaunra phul ki bikhri pankhuDiyon ko pirota tha
soch ki uThti girti lahren tujh ko kahin se le aatin
sahil-e-nur pe tera saya baiTha panw bhigota tha
ek mandi si lahr achanak teri god mein ja girti
dharti se aakash tak ek aaghosh ka aalam hota tha
soti raat ka jadu chalta khinchte hue daman ki oT
chand ka jauban chhalka paDta sagar pyasa hota tha
gesu tere bikhre jate pahlu tere khulte jate
shauq ki aankhen lori detin tera hijab na sota tha
sabza sabza nind bichhi thi, chand ki si raftar se hum
haule haule panw uThate KHwab ka aalam hota tha
jaane kaun se moD pe tera hath achanak chhuT gaya
gyan ki is baurai pawan mein dhyan bhi tera TuT gaya
apni wo dharti sare jahan mein phir na kahin pahchan mili
is miTTi ki KHushbu pane bij ashkon ke bota tha
chehra chehra wahshat Thahri aankhen tujh ko bhul gain
murat murat chup si lagi thi, jaane mujhe kya hota tha
chaDhte chand ki aahaT sun kar nagri nagri mera charagh
raat ki jhukti badli ke daman ko pakaD kar rota tha
raste raste bikhri hui thi mere charagh ki tanhai
ek mandi si lau mein kis kis ki parchhain samota tha
rasta chalte log bhi pagal ummidon ko samjhate
kitna hi aaina dikhate tera aks na hota tha
dal ke dal baadal jab tera pursa de ke chale jate
dur kahin ek abr ka TukDa jaise mujh ko rota tha
hosh ke bujhte diye mein ab tak us ka aansu jalta hai
ab tak us ki khoj mein pagla des bides nikalta hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 190)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.