talash
Interesting Fact
Dr. A.P.J.Abdulkalaam ko KHiraaj e aqiidat
na jaane kyuuñ ye lag rahā hai
jaise kho gayā hai kuchh
kabhī ye lag rahā hai
jaise ham ne pā liyā hai kuchh
vo kyā hai jo ki kho gayā
vo kyā thā jis ko pā liyā
ye baat mushtamil hai
ek arsa-e-qalēl par
qalandar ek rū-numā
huā thā ik sabīl par
vo pahle ilm-o-fan kī puurī
pyaas ko jagātā thā
savāl pūchhtā thā aur
tishnagī bujhātā thā
vo kahtā thā ki ḳhvāb dekho
jāgtī in āñkhoñ se
vo hārne ke qisse ko hī
paḌhtā thā paḌhātā thā
vo kahtā thā ki jiit ke ye vāqiye
payām hī to dete haiñ
magar shikast jaane kitne
rāstoñ ke kuchh
alag alag nishān detī hai
samundaroñ kī god meñ
vo khel kar javān huā
aur apne ilm-o-fan se vo
jahāñ par hī chhā gayā
har ek mulk jaane kab se
us kā muntazir rahā
magar vo hind kā supūt
hind meñ rahā kyā
vo apne mulk ke tamām
bachchoñ se ye kahtā thā
ki kaalā rañg daaġh
ho bhī saktā hai kasī jagah
magar ye rañg fann-e-justujō liye
charāġhāñ hai kasī jagah
na jaane aise kitne formule
vo jahāñ ko hai de gayā
vo ilm kā naqīb thā
vo jehl ki salīb thā
vo fahm kā rafīq thā
vo muḳhlis-o-shafēq thā
vo infirādiyat kā ek jaanā maanā naam thā
vo injizābiyat kā ek ḳhushnumā payām thā
magar vo shaḳhs aaj
ham ko chhoḌ kar chalā gayā
hai sāneha ye mulk ke liye
bahut baḌā magar
ġhalat na hogā ai 'shifā'
maiñ baat ye kahūñ agar
ki maiñ to gum hoñ bas
kisī ne is ek fikr meñ
kise talāsh kar ke lā.ūñ
ab maiñ apne mulk se
jise na apne ohde aur rutbe kā ġhurūr ho
jise na apne ilm kā hunar kā kuchh surūr ho
jo aa.e to ḳhazāna-e-ulūm le ke aa.e aur
jo jaa.e to muhabbat-e-awām le ke jaa.e bas
bhaTak rahā hai zehn-o-dil
talāsh-e-nā-guzīr ko
aur aañkh DhūñDhtī hai bas
ik aise be-nazīr ko
na jaane kyun ye lag raha hai
jaise kho gaya hai kuchh
kabhi ye lag raha hai
jaise hum ne pa liya hai kuchh
wo kya hai jo ki kho gaya
wo kya tha jis ko pa liya
ye baat mushtamil hai
ek arsa-e-qaleel par
qalandar ek ru-numa
hua tha ek sabil par
wo pahle ilm-o-fan ki puri
pyas ko jagata tha
sawal puchhta tha aur
tishnagi bujhata tha
wo kahta tha ki KHwab dekho
jagti in aankhon se
wo haarne ke qisse ko hi
paDhta tha paDhata tha
wo kahta tha ki jit ke ye waqiye
payam hi to dete hain
magar shikast jaane kitne
raston ke kuchh
alag alag nishan deti hai
samundaron ki god mein
wo khel kar jawan hua
aur apne ilm-o-fan se wo
jahan par hi chha gaya
har ek mulk jaane kab se
us ka muntazir raha
magar wo hind ka suput
hind mein raha kya
wo apne mulk ke tamam
bachchon se ye kahta tha
ki kala rang dagh
ho bhi sakta hai kasi jagah
magar ye rang fann-e-justujoo liye
charaghan hai kasi jagah
na jaane aise kitne formule
wo jahan ko hai de gaya
wo ilm ka naqib tha
wo jehl ki salib tha
wo fahm ka rafiq tha
wo muKHlis-o-shafeeq tha
wo infiradiyat ka ek jaana mana nam tha
wo injizabiyat ka ek KHushnuma payam tha
magar wo shaKHs aaj
hum ko chhoD kar chala gaya
hai saneha ye mulk ke liye
bahut baDa magar
ghalat na hoga ai 'shifa'
main baat ye kahun agar
ki main to gum hon bas
kisi ne is ek fikr mein
kise talash kar ke laun
ab main apne mulk se
jise na apne ohde aur rutbe ka ghurur ho
jise na apne ilm ka hunar ka kuchh surur ho
jo aae to KHazana-e-ulum le ke aae aur
jo jae to muhabbat-e-awam le ke jae bas
bhaTak raha hai zehn-o-dil
talash-e-na-guzir ko
aur aankh DhunDhti hai bas
ek aise be-nazir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.