talatum
dil aaj bahut ghabrātā hai
dil aaj bahut ghabrātā hai
tūfān-o-talātum ke paale girdāb sambhāle haiñ mujh ko
ik rāhat-e-jāñ hamdam kī tarah kuchh ḳhvāb sambhāle haiñ mujh ko
yuuñ mere ġhamoñ ke sanjīda ādāb sambhāle haiñ mujh ko
aur merī tabāhī par ḳhandāñ ahbāb sambhāle haiñ mujh ko
har zaḳhm-e-jigar samjhātā hai
dil aaj bahut ghabrātā hai
ghabrā ke ġhurūr-e-fāqa-kashī pahlū meñ biThā letā hai mujhe
sharmā ke surūr-e-tishna-labī dāman meñ chhupā letā hai mujhe
samjhā ke fareb-e-nauhagarī bātoñ meñ lagā letā hai mujhe
bahlā ke sukūt-e-nīm-shabī zaanū pe sulā letā hai mujhe
har shai se magar uktātā hai
dil aaj bahut ghabrātā hai
kyā aaj mirī ḳhāmoshī bhī ik shor-e-fuġhāñ ban jā.egī
jhuñjhlā ke nigāh-e-yās mirī ḳhud shoa.la-fishāñ ban jā.egī
pahlū se bagūle uTTheñge har saañs dhuāñ ban jā.egī
jaise ki mirī nākāmī bhī ik azm-e-javāñ ban jā.egī
sho.ale kī tarah lahrātā hai
dil aaj bahut ghabrātā hai
ḳhirman kī hamiyyat jaagī hai ai barq-o-sharār ab kyā hogā
barham hai nizām-e-hastī bhī ai dard-e-jigar ab kyā hogā
har va.ada-e-fardā ruuTh gayā ai shām-o-sahar ab kyā hogā
chauñkā hai zamīr-e-vahm-o-gumāñ ai zauq-e-nazar ab kyā hogā
kyā jāniye kyā samjhātā hai
dil aaj bahut ghabrātā hai
kyā aaj maiñ apne so.e hue jazbāt-e-junūñ bedār karūñ
sailāb-e-havādis ban jā.ūñ barbādī-e-sad-āzād karūñ
niklūñ maiñ hudūd-e-imkāñ se tūfāñ se nigāheñ chaar karūñ
ik talḳh tabassum ko le kar duniyā-e-sitam par vaar karūñ
dil aaj bahut ghabraata hai
dil aaj bahut ghabraata hai
tufan-o-talatum ke pale girdab sambhaale hain mujh ko
ek rahat-e-jaan hamdam ki tarah kuchh KHwab sambhaale hain mujh ko
yun mere ghamon ke sanjida aadab sambhaale hain mujh ko
aur meri tabahi par KHandan ahbab sambhaale hain mujh ko
har zaKHm-e-jigar samjhata hai
dil aaj bahut ghabraata hai
ghabra ke ghurur-e-faqa-kashi pahlu mein biTha leta hai mujhe
sharma ke surur-e-tishna-labi daman mein chhupa leta hai mujhe
samjha ke fareb-e-nauhagari baaton mein laga leta hai mujhe
bahla ke sukut-e-nim-shabi zanu pe sula leta hai mujhe
har shai se magar uktata hai
dil aaj bahut ghabraata hai
kya aaj meri KHamoshi bhi ek shor-e-fughan ban jaegi
jhunjhla ke nigah-e-yas meri KHud shoala-fishan ban jaegi
pahlu se bagule uTThenge har sans dhuan ban jaegi
jaise ki meri nakaami bhi ek azm-e-jawan ban jaegi
shoale ki tarah lahraata hai
dil aaj bahut ghabraata hai
KHirman ki hamiyyat jagi hai ai barq-o-sharar ab kya hoga
barham hai nizam-e-hasti bhi ai dard-e-jigar ab kya hoga
har wada-e-farda ruTh gaya ai sham-o-sahar ab kya hoga
chaunka hai zamir-e-wahm-o-guman ai zauq-e-nazar ab kya hoga
kya jaaniye kya samjhata hai
dil aaj bahut ghabraata hai
kya aaj main apne soe hue jazbaat-e-junun bedar karun
sailab-e-hawadis ban jaun barbaadi-e-sad-azad karun
niklun main hudud-e-imkan se tufan se nigahen chaar karun
ek talKH tabassum ko le kar duniya-e-sitam par war karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.