talazum
ta.alluq mujh meñ tum meñ kyā hai
tum maano na maano
tum use Thukrāo yā jhuTlāo lekin ye haqīqat hai
tumheñ merī zarūrat hai
bahut ḳhush-dīd haiñ āñkheñ tumhārī
ḳhush-nazar bhī haiñ
magar kyā apnī āñkhoñ se
kabhī tum apnī āñkheñ dekh saktī ho
talluq mujh mein tum mein kya hai
tum mano na mano
tum use Thukrao ya jhuTlao lekin ye haqiqat hai
tumhein meri zarurat hai
bahut KHush-did hain aankhen tumhaari
KHush-nazar bhi hain
magar kya apni aankhon se
kabhi tum apni aankhen dekh sakti ho
- Book : Aainaa Dar Aainaa (Pg. 38)
- Author : Aziz Qaisi
- Publication : Maktaba Saba Hayderabad (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.