talab
cigarette
kabhī
bahut aziiz thī
mahbūb thī
aur
saath hī
tum bhī
phir do hādse
ek din hī ho ga.e
chalī ga.iiñ tum bhī
aur maiñ ne bhī cigarette chhoḌ dī
lekin
ab bhī kabhī kabhī
koī kamī sī khaltī hai
nabz jab Dūbne sī lagtī hai
jī chāhtā hai aise meñ
cigarette ke dhueñ se
dā.ere banā.ūñ maiñ
kho.e hue paloñ ko zor se pukārūñ
apnī taraf bulā.ūñ maiñ
cigarette
kabhi
bahut aziz thi
mahbub thi
aur
sath hi
tum bhi
phir do hadse
ek din hi ho gae
chali gain tum bhi
aur main ne bhi cigarette chhoD di
lekin
ab bhi kabhi kabhi
koi kami si khalti hai
nabz jab Dubne si lagti hai
ji chahta hai aise mein
cigarette ke dhuen se
daere banaun main
khoe hue palon ko zor se pukarun
apni taraf bulaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.