talab ke tale
gul-o-yāsman kal se nā-āshnā
kal se be-e'tinā
gul-o-yāsman apne jismoñ kī hai.at meñ fard
magar kal se nā-āshnā kal se be-e'tinā
kasī marg-e-mubram kā dard
un ke dil meñ nahīñ!
faqat apnī tārīḳh kī be-sar-o-pā talab ke tale
ham dabe haiñ!
ham apne vajūdoñ kī pinhāñ taheñ
kholte tak nahīñ
aarzū bolte tak nahīñ!
ye tārīḳh merī nahīñ aur terī nahīñ
ye tārīḳh hai izhdihām-e-ravāñ
usī izhdihām-e-ravāñ kī ye tārīḳh hai
ye vo chīḳh hai
jis kī takrār apne man-o-tū meñ hai
vo takrār jo apnī tahzīb kī hū meñ hai
tujhe is pe hairat nahīñ
ham is izhdihām-e-ravāñ ke nishān-e-qadam par chale jā rahe haiñ
baḌhe jā rahe haiñ
ki ham zulmat-e-shab meñ tanhā
paḌe rah na jaa.eñ
baḌhe jā rahe haiñ
na jiine kī ḳhātir
na is se fuzūñ zinda rahne kī ḳhātir
baḌhe jā rahe haiñ kisī aib se
rahzan-e-marg se bach nikalne kī ḳhātir
judā.ī kī ḳhātir!
kisī fard ke ḳhauf se baḌh rahe haiñ
jo bātin ke TuuTe darīchoñ ke pīchhe
sharārat se hañstā chalā jā rahā hai
gul-o-yasman kal se na-ashna
kal se be-e'tina
gul-o-yasman apne jismon ki haiat mein fard
magar kal se na-ashna kal se be-e'tina
kasi marg-e-mubram ka dard
un ke dil mein nahin!
faqat apni tariKH ki be-sar-o-pa talab ke tale
hum dabe hain!
hum apne wajudon ki pinhan tahen
kholte tak nahin
aarzu bolte tak nahin!
ye tariKH meri nahin aur teri nahin
ye tariKH hai izhdiham-e-rawan
usi izhdiham-e-rawan ki ye tariKH hai
ye wo chiKH hai
jis ki takrar apne man-o-tu mein hai
wo takrar jo apni tahzib ki hu mein hai
tujhe is pe hairat nahin
hum is izhdiham-e-rawan ke nishan-e-qadam par chale ja rahe hain
baDhe ja rahe hain
ki hum zulmat-e-shab mein tanha
paDe rah na jaen
baDhe ja rahe hain
na jine ki KHatir
na is se fuzun zinda rahne ki KHatir
baDhe ja rahe hain kisi aib se
rahzan-e-marg se bach nikalne ki KHatir
judai ki KHatir!
kisi fard ke KHauf se baDh rahe hain
jo baatin ke TuTe darichon ke pichhe
shararat se hansta chala ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.