talKH-o-tursh
kyuuñ mirī talḳh-navā.ī se ḳhafā hote ho
zahr hī mujh ko milā zahr piyā hai maiñ ne
koī is dasht-e-junūñ meñ mirī vahshat dekhe
apne hī chāk-e-garebāñ ko siyā hai maiñ ne
dair o ka.aba meñ jalā.e mirī vahshat ne charāġh
merī mehrāb-e-tamannā meñ añdherā hī rahā
ruḳh-e-tārīḳh pe hai mere lahū kā ġhāza
phir bhī hālāt kī ā.ankhoñ meñ khaTaktā hī rahā
maiñ ne khīñchī hai ye mai maiñ ne hī Dhāle haiñ ye jaam
par azal se jo maiñ pyāsā thā to pyāsā hī rahā
ye hasīñ atlas-o-kam-ḳhvāb bune haiñ maiñ ne
mere hisse meñ magar duur kā jalva hī rahā
mujh pe ab tak na paḌī mere masīhā kī nazar
mere ḳhvāboñ kī ye bechain zuleḳhā.eñ haiñ
jin ko ta.abīr kā vo yūsuf-e-kan.āñ na milā
maiñ ne har lahja meñ logoñ se kahī baat magar
jo mirī baat samajhtā vo suḳhan-dāñ na milā
kufr o islām kī ḳhalvat meñ bhī jalvat meñ bhī
koī kāfir na milā koī musalmāñ na milā
mere māthe kā araq Dhaltā hai Taksāloñ meñ
par mirī jeb mire haath se sharmā.ī hai
kabhī maiñ baḌh ke thapak detā huuñ ruḳhsār-e-hayāt
zindagī baiTh ke mujh ko kabhī samjhātī hai
raat Dhaltī hai to sannāTe kī pagDanDī par
apne ḳhvāboñ ke tasavvur se hayā aatī hai
kyuuñ mirī talḳh-navā.ī se ḳhafā hote ho
merī āvāz ko ye zahr diyā hai kis ne
kyun meri talKH-nawai se KHafa hote ho
zahr hi mujh ko mila zahr piya hai main ne
koi is dasht-e-junun mein meri wahshat dekhe
apne hi chaak-e-gareban ko siya hai main ne
dair o kaba mein jalae meri wahshat ne charagh
meri mehrab-e-tamanna mein andhera hi raha
ruKH-e-tariKH pe hai mere lahu ka ghaza
phir bhi haalat ki aaankhon mein khaTakta hi raha
main ne khinchi hai ye mai main ne hi Dhaale hain ye jam
par azal se jo main pyasa tha to pyasa hi raha
ye hasin atlas-o-kam-KHwab bune hain main ne
mere hisse mein magar dur ka jalwa hi raha
mujh pe ab tak na paDi mere masiha ki nazar
mere KHwabon ki ye bechain zuleKHaen hain
jin ko tabir ka wo yusuf-e-kanan na mila
main ne har lahja mein logon se kahi baat magar
jo meri baat samajhta wo suKHan-dan na mila
kufr o islam ki KHalwat mein bhi jalwat mein bhi
koi kafir na mila koi musalman na mila
mere mathe ka araq Dhalta hai Taksalon mein
par meri jeb mere hath se sharmai hai
kabhi main baDh ke thapak deta hun ruKHsar-e-hayat
zindagi baiTh ke mujh ko kabhi samjhati hai
raat Dhalti hai to sannaTe ki pagDanDi par
apne KHwabon ke tasawwur se haya aati hai
kyun meri talKH-nawai se KHafa hote ho
meri aawaz ko ye zahr diya hai kis ne
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.