tamam umr darud-o-salam par rakh do
raihān-e-'ishq ke pahlū meñ kuchh laveñ rakh kar
tum 'ain 'ishq kī timsāl meñ mujhe Dhālo
phir is ke baa'd rehl meñ rakho du'ā.eñ do
ki maiñ bhī misra'-e-sarsabz se lipaT jā.ūñ
ka.ī zamānoñ se bikhrā huā simaT jā.ūñ
simaT jo pā.ūñ to bas is qadar guzārish hai
vajūdiyat ke us aa'lā maqām par rakh do
sujūd uThāo uThā kar qiyām par rakh do
dayār-e-'ishq kī dargāh par faqat mujh ko
tamām 'umr darūd-o-salām par rakh do
tamām 'umr darūd-o-salām par rakh do
raihan-e-'ishq ke pahlu mein kuchh lawen rakh kar
tum 'ain 'ishq ki timsal mein mujhe Dhaalo
phir is ke ba'd rehl mein rakho du'aen do
ki main bhi misra'-e-sarsabz se lipaT jaun
kai zamanon se bikhra hua simaT jaun
simaT jo paun to bas is qadar guzarish hai
wajudiyat ke us aa'la maqam par rakh do
sujud uThao uTha kar qiyam par rakh do
dayar-e-'ishq ki dargah par faqat mujh ko
tamam 'umr darud-o-salam par rakh do
tamam 'umr darud-o-salam par rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.