tamasha
raat jagmagātī hai
bhiiḌ shor hañgāme
zarq-barq pahnāve
surḳh sīm-gūñ dhānī
raushnī ke favvāre
mard aurteñ bachche
āḌī-tirchhī saf bāñdhe
ek ḳhatt-e-nūrīñ ke
nuqta-e-umūdī ko
sar uThā.e takte haiñ
luukā jaag uThtā hai
ek laaT girtī hai
mard aurteñ bachche
tāliyāñ bachāte haiñ
sirf ek hī aurat
chīḳh rok letī hai
sirf ek hī bachcha
tilmilā ke rotā hai
raat jagmagati hai
bhiD shor hangame
zarq-barq pahnawe
surKH sim-gun dhani
raushni ke fawware
mard aurten bachche
aaDi-tirchhi saf bandhe
ek KHatt-e-nurin ke
nuqta-e-umudi ko
sar uThae takte hain
luka jag uThta hai
ek laT girti hai
mard aurten bachche
taliyan bachate hain
sirf ek hi aurat
chiKH rok leti hai
sirf ek hi bachcha
tilmila ke rota hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 523)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.