tamasha ban gae
kyā tamāshā hai tamāshā-gar tamāshā ban ga.e
kyā samajhte the unheñ ham aur vo kyā ban ga.e
kyoñ na mar jaa.eñ marīzān-e-mohabbat rashk se
jo kabhī bīmār the vo ḳhud masīhā ban ga.e
un ke charche daur-e-hāzir kī sunahrī dāstāñ
apne qisse ahd-e-māzī kā fasāna ban ga.e
ab koī dekhe to kyā samjhe to kyā soche to kyā
jalve uTh kar dīda-e-hairāñ kā pardā ban ga.e
jaan kar apnā sar āñkhoñ par biThāyā thā jinheñ
jaan ke dushman vahī jān-e-tamannā ban ga.e
muḳhtasar hogā 'rishī' kyūñkar bayān-e-āshiqī
haal kyā kyā ho ga.e ahvāl kyā kyā ban ga.e
kya tamasha hai tamasha-gar tamasha ban gae
kya samajhte the unhen hum aur wo kya ban gae
kyon na mar jaen marizan-e-mohabbat rashk se
jo kabhi bimar the wo KHud masiha ban gae
un ke charche daur-e-hazir ki sunahri dastan
apne qisse ahd-e-mazi ka fasana ban gae
ab koi dekhe to kya samjhe to kya soche to kya
jalwe uTh kar dida-e-hairan ka parda ban gae
jaan kar apna sar aankhon par biThaya tha jinhen
jaan ke dushman wahi jaan-e-tamanna ban gae
muKHtasar hoga 'rishi' kyunkar bayan-e-ashiqi
haal kya kya ho gae ahwal kya kya ban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.