tamasha
havelī ke baḌe darvāze par āvezāñ
donoñ camere har roz
bāhar ke manāzir dekhte rahte haiñ hairat se
magar andar kī duniyā bhī
hai kuchh bāhar ke jaisī hī
yahāñ ke basne vāloñ meñ
ravābit bhī haiñ mustahkam
adāvat bhī musalsal hai
makīñ bālā.ī manzil kā
hamesha dūsrī manzil ke bāshinde pe
pahra tang rakhtā hai
kisī bhī taur man-mānī
na karne paa.e ye hargiz
binā is kī ijāzat ke
nahīñ le faisla koī
magar duuje ko bhī zid hai
karegā ḳhud-sarī yūñhī
fazā is kī
ghuTan-ālūd bhī hai pur-sukūñ bhī
ghaTā aur dhuup donoñ
aage pīchhe chaltī rahtī haiñ
koī kankar jo is kī jhiil meñ gir jaa.e
pahroñ muztarib rahtī haiñ lahreñ
uThā karte haiñ jazr-o-mad bhī rah rah kar
zarā jo garm ho mausam
yahāñ par bahne vaale surḳh paanī kā
badalne lagtā hai tevar
kabhī bas bhaap ban kar
jazb ho jaatā hai andar hī
kabhī tūfān kī sūrat
tsunami kī tarah sab kuchh
miTā detā hai ik pal meñ
darūn-e-ḳhāna sajtī rahtī hai mahfil
tamāshā roz hotā hai
haweli ke baDe darwaze par aawezan
donon camere har roz
bahar ke manazir dekhte rahte hain hairat se
magar andar ki duniya bhi
hai kuchh bahar ke jaisi hi
yahan ke basne walon mein
rawabit bhi hain mustahkam
adawat bhi musalsal hai
makin baalai manzil ka
hamesha dusri manzil ke bashinde pe
pahra tang rakhta hai
kisi bhi taur man-mani
na karne pae ye hargiz
bina is ki ijazat ke
nahin le faisla koi
magar duje ko bhi zid hai
karega KHud-sari yunhi
faza is ki
ghuTan-alud bhi hai pur-sukun bhi
ghaTa aur dhup donon
aage pichhe chalti rahti hain
koi kankar jo is ki jhil mein gir jae
pahron muztarib rahti hain lahren
uTha karte hain jazr-o-mad bhi rah rah kar
zara jo garm ho mausam
yahan par bahne wale surKH pani ka
badalne lagta hai tewar
kabhi bas bhap ban kar
jazb ho jata hai andar hi
kabhi tufan ki surat
tsunami ki tarah sab kuchh
miTa deta hai ek pal mein
darun-e-KHana sajti rahti hai mahfil
tamasha roz hota hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.