tamazat
Interesting Fact
(اپنی پچاسویں سالگرہ کے موقع پر)
maiñ apnī umr kī aadhī sadī guzār aaya
yahīñ se fikr meñ sanjīdgī ubhartī hai
ye umr ek dorāhā hai zindagī ke liye
ubhar sī aatī haiñ tabdīliyāñ ḳhayāloñ meñ
bikharne lagtī hai chāñdī bhī sar ke bāloñ meñ
ye aur baat ki aadhī sadī guzār aaya
ye aur baat ki sab kuchh badal gayā hai magar
tumhārā ruup vo hī hai jo kal thā āñkhoñ meñ
tumhāre husn-e-tabassum se pyaar hai ab bhī
vo dil-gudāz sā ik intizār hai ab bhī
hasīn chehroñ meñ tum ko talāsh kartā huuñ
taḳhaiyyulāt meñ ruḳhsār kī tamāzat hai
tumhāre āriz-e-ḳhush-rang kī shafaq ban kar
maiñ ḳhvāb ḳhvāb ka.ī hijr le ke aaya thā
sulagte lamhe the aur gesuoñ kā saayā thā
tumheñ to bichhḌe hue kitne saal biit ga.e
magar ye guzre hue māh-o-sāl achchhe haiñ
tumheñ jo dekhā nahīñ itnī der se maiñ ne
to aaj soch rahā huuñ ki ye bhī achchhā hai
ye hijr mere tumhāre liye ġhanīmat hai
mire ḳhayāl kī kis tarah shaan rah pātīñ
na tum bichhaḌtīñ to kaise javān rah pātīñ
main apni umr ki aadhi sadi guzar aaya
yahin se fikr mein sanjidgi ubharti hai
ye umr ek doraha hai zindagi ke liye
ubhar si aati hain tabdiliyan KHayalon mein
bikharne lagti hai chandi bhi sar ke baalon mein
ye aur baat ki aadhi sadi guzar aaya
ye aur baat ki sab kuchh badal gaya hai magar
tumhaara rup wo hi hai jo kal tha aankhon mein
tumhaare husn-e-tabassum se pyar hai ab bhi
wo dil-gudaz sa ek intizar hai ab bhi
hasin chehron mein tum ko talash karta hun
taKHaiyyulat mein ruKHsar ki tamazat hai
tumhaare aariz-e-KHush-rang ki shafaq ban kar
main KHwab KHwab kai hijr le ke aaya tha
sulagte lamhe the aur gesuon ka saya tha
tumhein to bichhDe hue kitne sal bit gae
magar ye guzre hue mah-o-sal achchhe hain
tumhein jo dekha nahin itni der se main ne
to aaj soch raha hun ki ye bhi achchha hai
ye hijr mere tumhaare liye ghanimat hai
mere KHayal ki kis tarah shan rah patin
na tum bichhaDtin to kaise jawan rah patin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.