tamanna
mere mālik
ik din mere ḳhuun kā qatra
mire badan se judā huā thā
mere us ke biich meñ har-dam
be-mehrī ke octopus aur
bedardī ke shark kā maḳhzan
apnī vus.at baḌhā rahā hai
aur maiñ ulfat kā guldasta le kar
is sāgar meñ utar rahā huuñ
mere mālik itnā kar de
mere ḳhuun ke qatre ko tū
mere dariyā meñ zam kar de
mere mālik
itnā kar de
mere malik
ek din mere KHun ka qatra
mere badan se juda hua tha
mere us ke bich mein har-dam
be-mehri ke octopus aur
bedardi ke shark ka maKHzan
apni wusat baDha raha hai
aur main ulfat ka guldasta le kar
is sagar mein utar raha hun
mere malik itna kar de
mere KHun ke qatre ko tu
mere dariya mein zam kar de
mere malik
itna kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.