tamanna
mujhe mammā merī na lorī sunāo
mujhe aap ik computer dilāo
tamanna hai robot sab ko banā.ūñ
maiñ in uñgliyoñ par jahāñ ko nachā.ūñ
sitāroñ ko itnā maiñ ma.azūr kar duuñ
guzargah badalne pe majbūr kar duuñ
nahīñ mujh ko sunñī vo bāteñ purānī
maiñ nuqtoñ se ab ḳhud banā.ūñ kahānī
milā tiis nuqte faqat ik banā.ūñ
maiñ phir dushmanoñ par nishāne lagā.ūñ
uThāne kisī ko na maiñ jā.ūñ aage
girā kar sabhoñ ko nikal bhāgūñ aage
bhalā sirf apnā ho vo gur sikhāo
mujhe mammā merī na lorī sunāo
mujhe mamma meri na lori sunao
mujhe aap ek computer dilao
tamanna hai robot sab ko banaun
main in ungliyon par jahan ko nachaun
sitaron ko itna main mazur kar dun
guzargah badalne pe majbur kar dun
nahin mujh ko sunni wo baaten purani
main nuqton se ab KHud banaun kahani
mila tis nuqte faqat ek banaun
main phir dushmanon par nishane lagaun
uThane kisi ko na main jaun aage
gira kar sabhon ko nikal bhagun aage
bhala sirf apna ho wo gur sikhao
mujhe mamma meri na lori sunao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.