tamsil
jab ye bārish zarā bhī thamtī hai
duur bijlī chamakne lagtī hai,
phir qayāmat kā shor hotā hai
abr phir yuuñ barasne lagtā hai
jaise nazroñ ke sāmne aksar
husn kī bijliyāñ chamaktī haiñ
ishq jab zindagī kā tālib ho
husn ban kar azaab aa jaa.e
pattharoñ kā mizāj le aa.e
saḳhtiyāñ maañg le chaTānoñ se
jazba-e-rahm ko fanā kar de
ishq majbūr ho ke āḳhir maiñ,
apnī āñkhoñ se ḳhuun barsā de,
jab ye barish zara bhi thamti hai
dur bijli chamakne lagti hai,
phir qayamat ka shor hota hai
abr phir yun barasne lagta hai
jaise nazron ke samne aksar
husn ki bijliyan chamakti hain
ishq jab zindagi ka talib ho
husn ban kar azab aa jae
pattharon ka mizaj le aae
saKHtiyan mang le chaTanon se
jazba-e-rahm ko fana kar de
ishq majbur ho ke aaKHir main,
apni aankhon se KHun barsa de,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.