ġhusl-ḳhāne meñ vo kahtī haiñ hameñ chīnī kī īñTeñ hī pasand aatī haiñ
chīnī kī īñToñ pe vo kahtī haiñ chhīñTā jo paḌe to pal meñ
ek ik buuñd bahut jald phisal jaatī hai
koī pūchhe ki bhalā būñdoñ ke yuuñ jald phisal jaane meñ
kyā fā.eda hai
jab zarūrat huī jī chāhā to chupke se ga.e aur nahā kar lauTe
dhul-dhulā kar yuuñ chale aa.e ki jis tarah kisī jhiil ke paanī pe koī murġhābī
ek dam Dupkī lagātī hai lagāte hī ubhar aatī hai
aur phir tairtī jaatī hai zarā ruktī nahīñ
vo ye kahtī haiñ magar chīnī kī īñToñ kā agar farsh ho dīvāreñ hoñ
dil ye kahtā hai ki har chiiz kā nikhrā huā rañg
āñkhoñ ko kitnā bhalā lagtā hai
jaise barsāt meñ tham jaate haiñ bādal jo baras kar to har ik phulvārī
yuuñ nazar aatī hai
jaise jaanā ho use apne kasī chāhne vaale se kahīñ milne ko jaanā ho magar
abhī kuchh soch meñ ho
koī pūchhe ki bhalā chīnī kī īñToñ ko kisī soch se kyā nisbat hai
chīnī kī īñTeñ to be-jān haiñ phulvārī meñ har phuul kalī har patta
ziist ke nuur se lahrātā hai
phuul murjhā.e kalī khiltī hai
aur har patta na.e phuul ke gun gaatā hai
chīnī kī īñTeñ koī giit nahīñ gā saktīñ
chīnī kī īñTeñ to ḳhāmosh rahā kartī haiñ
aisī ḳhāmoshī se uktā ke nahāne vaalā
kuchh is andāz se ik taan lagātā hai ki luqmān hī yaad aatā hai
jab maiñ ye kahtā huuñ vo pūchhtī haiñ
koī pūchhe to bhalā taan ko luqmān se kiyā nisbat hai
aur maiñ kahtā huuñ luqmān ko luqmān ko yā taan ko rahne do chalo
aur koī baat kareñ
aur yuuñ leTe hī rahte haiñ kisī ke dil meñ
dhyān aatā hī nahīñ
ġhusl-ḳhāne meñ qadam rakkheñ nahā kar so.eñ
leTe leTe yūñhī niind aatī hai so jaate haiñ
ghusl-KHane mein wo kahti hain hamein chini ki inTen hi pasand aati hain
chini ki inTon pe wo kahti hain chhinTa jo paDe to pal mein
ek ek bund bahut jald phisal jati hai
koi puchhe ki bhala bundon ke yun jald phisal jaane mein
kya faeda hai
jab zarurat hui ji chaha to chupke se gae aur naha kar lauTe
dhul-dhula kar yun chale aae ki jis tarah kisi jhil ke pani pe koi murghabi
ek dam Dupki lagati hai lagate hi ubhar aati hai
aur phir tairti jati hai zara rukti nahin
wo ye kahti hain magar chini ki inTon ka agar farsh ho diwaren hon
dil ye kahta hai ki har chiz ka nikhra hua rang
aankhon ko kitna bhala lagta hai
jaise barsat mein tham jate hain baadal jo baras kar to har ek phulwari
yun nazar aati hai
jaise jaana ho use apne kasi chahne wale se kahin milne ko jaana ho magar
abhi kuchh soch mein ho
koi puchhe ki bhala chini ki inTon ko kisi soch se kya nisbat hai
chini ki inTen to be-jaan hain phulwari mein har phul kali har patta
zist ke nur se lahraata hai
phul murjhae kali khilti hai
aur har patta nae phul ke gun gata hai
chini ki inTen koi git nahin ga saktin
chini ki inTen to KHamosh raha karti hain
aisi KHamoshi se ukta ke nahane wala
kuchh is andaz se ek tan lagata hai ki luqman hi yaad aata hai
jab main ye kahta hun wo puchhti hain
koi puchhe to bhala tan ko luqman se kiya nisbat hai
aur main kahta hun luqman ko luqman ko ya tan ko rahne do chalo
aur koi baat karen
aur yun leTe hi rahte hain kisi ke dil mein
dhyan aata hi nahin
ghusl-KHane mein qadam rakkhen naha kar soen
leTe leTe yunhi nind aati hai so jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.