tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya
Interesting Fact
(25 march 1971)
ab āñsuoñ ke dhuñdlakoñ meñ raushnī dekho
hujūm-e-marg se āvāz-e-zindagī ko suno
suno ki tishna-dahan mālik-e-sabīl hue
suno ki ḳhāk-basar vāris-e-fasīl hue
ridā-e-chāk ne dastār-e-shah ko taar kiyā
tan-e-nahīf se amboh-e-jabr haar gayā
suno ki hirs-o-havas qahr-o-zahr kā relā
ġhubār-o-ḳhār o ḳhash-o-ḳhāk hī ne thaam liyā
siyāhiyāñ hī muqaddar hoñ jin nigāhoñ kā
ḳhudā bachā.e un āñkhoñ kī shola-bārī se
Daro ki zard-ruḳhāñ nīm-jāñ o ḳhasta-tanāñ
hazār baar mare aur laakh baar jiye!
vo log jin ko mayassar na aa.e marham-e-vaqt!
vo log talḳhī-e-taqdīr baañT lete haiñ
vo haath jin pe ho nafrat kā zañg sadiyoñ se
vo haath lohe kī dīvār kaaT dete haiñ
ab aansuon ke dhundlakon mein raushni dekho
hujum-e-marg se aawaz-e-zindagi ko suno
suno ki tishna-dahan malik-e-sabil hue
suno ki KHak-basar waris-e-fasil hue
rida-e-chaak ne dastar-e-shah ko tar kiya
tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya
suno ki hirs-o-hawas qahr-o-zahr ka rela
ghubar-o-KHar o KHash-o-KHak hi ne tham liya
siyahiyan hi muqaddar hon jin nigahon ka
KHuda bachae un aankhon ki shola-bari se
Daro ki zard-ruKHan nim-jaan o KHasta-tanan
hazar bar mare aur lakh bar jiye!
wo log jin ko mayassar na aae marham-e-waqt!
wo log talKHi-e-taqdir banT lete hain
wo hath jin pe ho nafrat ka zang sadiyon se
wo hath lohe ki diwar kaT dete hain
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.