tanasuKH
jab ek sūraj ġhurūb hotā hai
kam-nazar log ye samajhte haiñ
ab añdherā zamīñ kī taqdīr ho gayā hai
zamāna zanjīr ho gayā hai
unheñ ḳhabar kyā
ki mehr-o-māh-o-nujūm saare
to raushnī ke haiñ isti.āre
tulūa kā dil-faroz manzar
ġhurūb kā dil-shikan nazāra
azal se us raushnī kā partav hai
jo musalsal safar ke aalam meñ
har makāñ lā-makāñ ko apne jilau meñ le kar
ravāñ-davāñ hai
ye raat aur din
har ek zāhir har ek bātin
har ek mumkin
usī tasalsul kā zer-o-bam hai
nigār-e-fitrat kā husn-e-ram hai
ufuq ufuq par yahī raqam hai
ki jo adam hai
vo zindagī kā nayā janam hai
jab ek suraj ghurub hota hai
kam-nazar log ye samajhte hain
ab andhera zamin ki taqdir ho gaya hai
zamana zanjir ho gaya hai
unhen KHabar kya
ki mehr-o-mah-o-nujum sare
to raushni ke hain istiare
tulua ka dil-faroz manzar
ghurub ka dil-shikan nazara
azal se us raushni ka partaw hai
jo musalsal safar ke aalam mein
har makan la-makan ko apne jilau mein le kar
rawan-dawan hai
ye raat aur din
har ek zahir har ek baatin
har ek mumkin
usi tasalsul ka zer-o-bam hai
nigar-e-fitrat ka husn-e-ram hai
ufuq ufuq par yahi raqam hai
ki jo adam hai
wo zindagi ka naya janam hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 275)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.