tanha lamhon ki sargoshi
tanhā lamhoñ ne aa aa kar
kaan meñ sargoshī kī aksar
pūchhā sāthī ye to batāo
zahr ke kitne jaam piye haiñ
jhūToñ ko kyā makkāroñ ko
phaTkārā lalkārā bhī hai
daar ke gahre saa.e meñ kyā
jhanDā haq kā lahrāyā hai
pyaar ko ik ādarsh banā kar
kab qasd-e-taslīb kiyā hai
jab jab bazm meñ aa.e ho tum
gum-sum chup chup sar laTkā.e
tauq gale meñ aah kā Daale
sar par taaj ġhamoñ kā pahne
apne dukhoñ kī maalā japne
aa baiThe tum is duniyā meñ
duniyā ko tum dekh chuke ho
zulm kī aag meñ jaltī duniyā
zard zabāñ sho.aloñ kī jis ko
chaaT chukī hai chaaT rahī hai
sach pūchho to ḳhaak huī hai
lekin baat ajab hai kitnī
jab jab tum se baat huī tum
apnā dukhḌā le baiThe ho
tanha lamhon ne aa aa kar
kan mein sargoshi ki aksar
puchha sathi ye to batao
zahr ke kitne jam piye hain
jhuTon ko kya makkaron ko
phaTkara lalkara bhi hai
dar ke gahre sae mein kya
jhanDa haq ka lahraya hai
pyar ko ek aadarsh bana kar
kab qasd-e-taslib kiya hai
jab jab bazm mein aae ho tum
gum-sum chup chup sar laTkae
tauq gale mein aah ka Dale
sar par taj ghamon ka pahne
apne dukhon ki mala japne
aa baiThe tum is duniya mein
duniya ko tum dekh chuke ho
zulm ki aag mein jalti duniya
zard zaban shoalon ki jis ko
chaT chuki hai chaT rahi hai
sach puchho to KHak hui hai
lekin baat ajab hai kitni
jab jab tum se baat hui tum
apna dukhDa le baiThe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.