tanhai
is saf meñ bhī sab dushman haiñ
us saf meñ bhī sab dushman haiñ
jo āñkhoñ meñ āñkheñ Daale
aur dil meñ nafrat ko paale
bārūd ke Dher pe baiThe haiñ
bas ik saa.at kī duurī par
us insāñ kī majbūrī par
koī rone vaalā bhī to nahīñ
koī hañsne vaalā bhī to nahīñ
us sā.at-e-ḳhūñ-āshām se thī
vo saarī raunaq manzar kī
is sā.at-e-dil-āzār se hai
ik zard udaas sī ḳhāmoshī
is manzar se us manzar tak
ik manzar thā ab vo bhī nahīñ
ik kaTne vaalī gardan thī
ik ḳhanjar thā ab vo bhī nahīñ
ab vo bhī nahīñ jo dekhte hoñ
ye jiit huī yā haar huī
ab vo bhī nahīñ jo kahte hoñ
ye ziist hameñ āzār huī
ab vo bhī nahīñ jo likhte hoñ
ahvāl jise tārīḳh kaheñ
ab ye bhī nahīñ ki ye lāshe
miTTī meñ mileñ gulzār baneñ
ab insāñ khet na haivāñ haiñ
ghar madrase daftar aur na mileñ
añgusht kī ik jumbish se kahīñ
missile dāġhā jā bhī chukā
ik jauharī raqs ke thamne tak
jo daur-e-hayāt thā jā bhī chukā
is ziist ke bandī-ḳhāne se
ham misl-e-ajal āzād hue
ye kaise mulk basā.e the
ik lamhe meñ barbād hue
hai āḳhirī manzar tārājī
huuñ jis kā ek havāla maiñ
ye manzar kaisā manzar hai
jise tanhā dekhne vaalā maiñ
ab us saf meñ bhī koī nahīñ
ab is saf meñ bhī koī nahīñ
maiñ tanhā baiThā sochtā huuñ
kuchh jiine kā imkān to ho
aa baiThe paas jo dushman ke
dushman hī sahī insān to ho
is saf mein bhi sab dushman hain
us saf mein bhi sab dushman hain
jo aankhon mein aankhen Dale
aur dil mein nafrat ko pale
barud ke Dher pe baiThe hain
bas ek saat ki duri par
us insan ki majburi par
koi rone wala bhi to nahin
koi hansne wala bhi to nahin
us saat-e-KHun-asham se thi
wo sari raunaq manzar ki
is saat-e-dil-azar se hai
ek zard udas si KHamoshi
is manzar se us manzar tak
ek manzar tha ab wo bhi nahin
ek kaTne wali gardan thi
ek KHanjar tha ab wo bhi nahin
ab wo bhi nahin jo dekhte hon
ye jit hui ya haar hui
ab wo bhi nahin jo kahte hon
ye zist hamein aazar hui
ab wo bhi nahin jo likhte hon
ahwal jise tariKH kahen
ab ye bhi nahin ki ye lashe
miTTi mein milen gulzar banen
ab insan khet na haiwan hain
ghar madrase daftar aur na milen
angusht ki ek jumbish se kahin
missile dagha ja bhi chuka
ek jauhari raqs ke thamne tak
jo daur-e-hayat tha ja bhi chuka
is zist ke bandi-KHane se
hum misl-e-ajal aazad hue
ye kaise mulk basae the
ek lamhe mein barbaad hue
hai aaKHiri manzar taraji
hun jis ka ek hawala main
ye manzar kaisa manzar hai
jise tanha dekhne wala main
ab us saf mein bhi koi nahin
ab is saf mein bhi koi nahin
main tanha baiTha sochta hun
kuchh jine ka imkan to ho
aa baiThe pas jo dushman ke
dushman hi sahi insan to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.