tanhai ka safarnama
shaam hote hī ghar mujh se chhoTā paḌ jaatā hai
maiñ rastoñ kī bad-duā par niklā huuñ
jahāñ āñkhoñ ko chehre kamāne se fursat nahīñ
lagtā hai tanhā.ī mujh se uub ga.ī hai
sāñseñ mailī ho rahī thiiñ
miTTī ne mujhe phuul banā diyā
ḳhushbū havā kī dost ho jaa.e
to be-rañge log rañg rañg kī bāteñ
karte hī haiñ
(vo ḳhvāh kitne bhī chhoTe ho jaa.eñ
achchhā mausam in par kabhī puurā nahīñ ātā)
bad-zabānoñ ko mālūm nahīñ
uryānī sirf āñkhoñ par jachtī hai
maiñ zamīn par girā huā chāñd huuñ
qadmoñ se pahle dīvār mujhe phalāñg rahī hai
muñDer par dharā charāġh mujh se ziyādā raushan hai!
maiñ bhī to maiñ huuñ
ek gunāh ke evaz apnā saarī nekiyāñ
ḳharch kar baiThtā huuñ
ḳhāmoshī ke ḳhālī badan meñ
koī dhun mujhe gungunātī rahtī hai
udāsī aur kahāñ rahe
kaash ḳhudā mujhe dekh rahā ho!
sham hote hi ghar mujh se chhoTa paD jata hai
main raston ki bad-dua par nikla hun
jahan aankhon ko chehre kamane se fursat nahin
lagta hai tanhai mujh se ub gai hai
sansen maili ho rahi thin
miTTi ne mujhe phul bana diya
KHushbu hawa ki dost ho jae
to be-range log rang rang ki baaten
karte hi hain
(wo KHwah kitne bhi chhoTe ho jaen
achchha mausam in par kabhi pura nahin aata)
bad-zabanon ko malum nahin
uryani sirf aankhon par jachti hai
main zamin par gira hua chand hun
qadmon se pahle diwar mujhe phalang rahi hai
munDer par dhara charagh mujh se ziyaada raushan hai!
main bhi to main hun
ek gunah ke ewaz apna sari nekiyan
KHarch kar baiThta hun
KHamoshi ke KHali badan mein
koi dhun mujhe gungunati rahti hai
udasi aur kahan rahe
kash KHuda mujhe dekh raha ho!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.