tanhai ke fan mein kaamyab
apnī azlī aarzū ke mutābiq
maiñ bilkul āzād ho chukī huuñ
har ḳhvāhish se
lālach se
ḳhauf se
ġham se
nafrat se
maiñ chāhūñ to rocking chair par
sub.h se shaam kar saktī huuñ
yā raat bhar safed kapḌe par
rañg-birañge phuul kaaḌh saktī huuñ
yā jañgal meñ itnī duur jā saktī huuñ
ki vāpas na aa sakūñ
yā dā.ere meñ ghūmte hue
apne aap ko thakā kar girā saktī huuñ
kabhī na uThne ke liye
aur aise meñ
unhoñ ne use bhej diyā hai
jaan buujh kar
merī tanhā.ī meñ ḳhalal Dālne ke liye
taaki mil jaa.e mujhe phir koī
nafrat karne ke liye
chhoTī sī to hai vo
magar nahīñ Dālne detī mujhe
apnī tanhā.ī meñ ḳhalal
mukammal taur par āzād
merī nafrat se bhī
merī aslī vāris
magar mujh se kahīñ ziyāda kāmyāb
tanhā.ī ke fan meñ
apni azli aarzu ke mutabiq
main bilkul aazad ho chuki hun
har KHwahish se
lalach se
KHauf se
gham se
nafrat se
main chahun to rocking chair par
subh se sham kar sakti hun
ya raat bhar safed kapDe par
rang-birange phul kaDh sakti hun
ya jangal mein itni dur ja sakti hun
ki wapas na aa sakun
ya daere mein ghumte hue
apne aap ko thaka kar gira sakti hun
kabhi na uThne ke liye
aur aise mein
unhon ne use bhej diya hai
jaan bujh kar
meri tanhai mein KHalal Dalne ke liye
taki mil jae mujhe phir koi
nafrat karne ke liye
chhoTi si to hai wo
magar nahin Dalne deti mujhe
apni tanhai mein KHalal
mukammal taur par aazad
meri nafrat se bhi
meri asli waris
magar mujh se kahin ziyaada kaamyab
tanhai ke fan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.