tanhai ki ek nazm
bahut chhoTī sī ik taqrīb rakhī hai
ye duniyā hai
lihāzā hasb-e-ḳhvāhish kuchh yahāñ ho kar nahīñ detā
so ye taqrīb jaane ho na ho
par tum zarūr aanā
tum aanā
aarzū kī baat hogī
zindagī par tabsire hoñge
vahāñ ruknā
jahāñ phūloñ kī sañgat meñ ravish par dil dhare hoñge
qabā-e-chāk pahne kuchh kushāda-zarf istiqbāl ko bāhar khaḌe hoñge
tumheñ jo rañg bhī bhaa.e pahan aanā
tumheñ jo bhes ḳhush aa.e
dabe paañv
havā ke dosh par
yā chāñd kī kirnoñ pe chal kar
pā-piyāda harf hāthoñ meñ uThā.e yā tahī-dāmāñ
kisī sūrat bhī aanā
bas chale aanā
bahut chhoTī sī ik taqrīb rakhī hai
na ab shab-zādgī se koī shikva
na zamāne ke taġhāful se shikāyat hai
zarūr aanā mire ġham kī nihāyat hai
bahut chhoTi si ek taqrib rakhi hai
ye duniya hai
lihaza hasb-e-KHwahish kuchh yahan ho kar nahin deta
so ye taqrib jaane ho na ho
par tum zarur aana
tum aana
aarzu ki baat hogi
zindagi par tabsire honge
wahan rukna
jahan phulon ki sangat mein rawish par dil dhare honge
qaba-e-chaak pahne kuchh kushada-zarf istiqbaal ko bahar khaDe honge
tumhein jo rang bhi bhae pahan aana
tumhein jo bhes KHush aae
dabe panw
hawa ke dosh par
ya chand ki kirnon pe chal kar
pa-piyaada harf hathon mein uThae ya tahi-daman
kisi surat bhi aana
bas chale aana
bahut chhoTi si ek taqrib rakhi hai
na ab shab-zadgi se koi shikwa
na zamane ke taghaful se shikayat hai
zarur aana mere gham ki nihayat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.